tere hath se

tere hath se
tere hath se mere hath tk ye jo hath bhar ka he fasla....
ise napte ise kat'te meri sari umer guzar gai
  

Nov, 29 2012     104 chars (1 sms)     3588 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

duniya sey mukhtalif hai mera andaaz-e-zindagi ghalib..

mein zakham khaata hoon to aur nikhar jaata hoon...
dus hijar di koi had meno.
toun fair milain ga kad menoon.
tu hr kisey day naal rawain.
tey yaad kerain behad menoon.
muk jaan hayatti dey dukhrre.
aa kol mere ya sud menoon.
zindagi k khel ko mere siwa jane ga kaun…






zindagi kuch bhi nahi uski tamana k siwa..
Jin Ki Dehleez Se wabasta Ho zindagi !!
Kaise Mumkin Hai Un Se juda Hona !!
Wo Lakh Murawat Se kaam Lain Phir Bhi !!
Ye Dil Nahi Manta Un Se Khafa Hona !
Sun li jo khuda nay wo dua tum to nahin ho
Darwazay pay dastak ki sada tum to nahin ho

Simti hoye, sharmae hoye, raat ki rani
Soye hoye kalyon ki haya tum to nahin ho

Mehsos kiya tum ko to geeli hoye palken
Bheegi hoye mosam ki ada tum to nahin ho

In ajnabi rahon main nahin koye bhi mera
Kis nay mujhe yon apna kaha tum to nahin ho
Sab log ye mugh say kehte hain
Nazmo say ishq Khuda jesa
Ghazlo main kaif udhaasi ka
Kis dost nay tum ko sonpa hai
Mera ik jawab hamesha say!

"IK SHAKHS SHEHAR MAY AYA THA
magar!
yeh yaad rakhna tum
khudaa se yeh duaa karna
ke!!
jo acha lage tum ko
woh tum jaisa hargizz na ho
wagarna tum bi ro''ge
mujhe jaise rulaate ho....!
bad-naseebi ka mein qaa''il toh nahin hun, lekin



mein ne barsaat me jalte hue ghar dekhe hain.......
us ne milne ki bhi ajeeb sharat rakhi sagar

Chal ana tha sokhe paton par lykn koi ahat na hu...
hijr mujhay raas ana hi tha,
kisi tarha sahi usay bhulana hi tha!
Janay kaun uthai Ga
Pabandi Taqdiroon se,


Ishq nirla mazhab hai
Janay kaun khuda Theray
Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din

Raazon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din

Pedon ki tarah husn ki baarish mein nahaa loon
Baadal ki tarha jhoom ke ghirr aao kisi din

Khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab- a-vasl ko dohraao kisi din

Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare
Iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni har ik saans usi raat ko de doon
Sarr rakh ke mere seene pe so jaao kisi din