Aur kya kahooN kya hey uska mujh sey parda karna
wo jaanti hey mujh pey kayaamatoN ko barpa karna
uski soorat rahey aaNkhoN meiN aur dekhooN meiN
us ki kurbat meiN ajeeb tarz sy dil ka dharrka karna
hy munkashif mujh pey usey khaab meiN dekhoN to
mery khayaaloN ka phooloN ki tarhaN mehka karna
kaasa-e-ishq meiN deedaar ki bheek sy guraez us ko
jaany lagta hooN to ada-e-khaas sey mujhy roka karna
sunooN jo us ki to zaahir ho, magar ba-nakaab-e-rukh
us pey bohat jach’ta hey ye maasoom sa dhoka karna
accha lagta hy jo mehfil meiN usey ik tak dekhoN to
sharbati aaNkhoN ka ishaaroN sey mujhy toka karna