Ager jazbaat sachay ho''n...

Ager jazbaat sachay ho''n...
Ager jazbaat sachay ho''n...

Wafa k rang pakkay ho''n...

Ager taqdeer saathi ho...

Kisi ki yaad aati ho...

To phir aisay may laazim hay...

Palat ker daikhna ho ga...

Aisa sauchna ho ga...

Kisi ka dair tak takna...

Kisi ka chupkay say ha''nsna...

Koi ma''ni to rakhta hay...!!!
  

Jun, 02 2010     304 chars (2 sms)     4509 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tumhen udaas Dekh ker,,

kisi k Rang kho Gae..

kahin pe chand Bhujh Gya,,

kahin Sitaray so Gae..

kahin pe Barishon ki Rutt,,

Ghazb ki piyas Ban Gai..

Koi Bahar Rooth Kar,,

Sarapa.e.Aas Ban Gai..

Kisi k Mosmon ko Yun,,

Azaab Mat Diya karo..

Udaas mat Hua karo,,

Udaas mat Hua karo..!
na suno gar buraa kahe koii
na kaho gar buraa kare koii

rok lo gar Galat chale koii
baKhsh do gar Khata kare koii

bak rahaa huu’N junuu’N me’n kyaa kyaa kuchh
kuchh na samajhe Khudaa kare koii
Mehak dosti ki ishq se kam nahin hoti,
ishq se zindagi khatam nahin hoti,
sath agar ho zindagi main doston ka,
to zindagi jannat se kam nahi hoti..
"sunoo"

tum zraf waly ho
bala ka ZABT rakhty ho
tumhen kuch bhi nahi
hoga
"MAGAR"
JISY TUM CHOOR JATY HO
ussy to theek see shayad

"BICHRNA"
BHI NAHI AATA
ChAlo



Aaj TumhArA Naam likhAiN,


SaGar kiNarAy sAhil pAr,


Rait mAin koi phool khilAy zAmaNa beet GayA.

Be-Khuloos Logo''n Se
Ijtinab Krna Hy

Mujhy Apne Rishto''n Ka
Ehtisab Krna Hy

Usay Bhool Jana Hy Ya
Usay Yaad Rkhna Hy

Dukh Tou Ek Jesa Hy Bs
Intikhab Krna Hy
Teray Kochay Se Aub Mairy Taulq Wajbi Sa Ha.





Mager Jub Be Guzerta Hon Ankhein Bheg Jati Han.
Ye Dhoop kinarey
Shaam Dhalay

Miltey Hyn Dono''n
Waqt Jahan

Jo Raat Na Din, Jo
Aaj Na Kal

Pal Bhar Ko Amar,
Pal Bhar Ko Dhuaa''n
Uski Mohabbat Ka Tareeka Kuch Aur Hai
Kehta Wo Aur Hai Kerta Kuch Aur Hai
Jo Us Pe Beeti Hai Wo B Maloom Hai Mujhe
Jab Uss Se Pochta Hon Batata Kuch Aur Hai.
Hazar un se muhabbat jatane wale hain
Zamane wale bhi lekin zamane wale hain...
Bahar jin ke naqsh-e-qadam pe nazan hai
Ye khush khuram qayamat uthane wale hain...
Woh beqasoor hain wada agar wafa na ho
Qadam qadam pe unhein wargalane wale hain...
Tumhari chashm-e-karam ne jinhein hawa de di
Woh khush shanas kahan sar jhukane wale hain...
Unhein wafa-o-muhabbat ka tajurba hi nahin
Jo bekhabar unsey apna banane wale hain...
Shab-e-faraq sitaron se khaak dil behle
Ke rafta rafta ye sab doob jane wale hain...
Woh poochhte hain to sab haal arz ker Aman
Ye ittefaq kahan haath aane wale hain...
Wo Mera Ho Jo Nigaho''n Main Haya Rakhta Ho

Umar Bhar Saath Chale Azm-e-Wafa Rakhta Ho

Naz Us K Na Uthao''n Tou Shikayat Na Kare

Gham Utha K Bhi Wo Hansne Ki Ada Rakhta Ho
Aey Qabristan Teri Aagosh maiN ItnA Sanata KioN hY

LoG TO Apni JaaN Dy kr Tujhe Abad Krty hAin...