Tumhen Wapis bhi jana tha,

Tumhen Wapis bhi jana tha,
Tumhen Wapis bhi jana tha,
Kabhi tum ne ye Socha ha?
Kisi ki sochti sada si Aankhon mein,
Udasi ki tahreer tum ne mita Dali,
Dhanak sapnon ka phir se jaal sa ek bun diya un mein,
Magar janan!
Zara Socho....
Agar is baar bhi sapnay kisi ne toor Dale to,
Wo in ki kircheyan sari ki sari,
apni Palkon mein chupa le gi,
Tum aisa kuen nahi kartay,
Abhi se us ko batla do
Tumhen Wapis bhi jana hay.
  

Jun, 01 2010     404 chars (3 sms)     2833 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Nukss Mujh Main Zaroor Hay Koi
Aaj ItNa Jo Door Hay Koi
Muskurao Na Aaj Taroon
Gum Kay Zakhmon Say Choor Hay Koi
Uss Nay Yaad Karna Choor Dia
BaaT Iss Main Zaroor Hay Koi.
Meri zindagi mein bus ik kitaab hai

Ik khawab hai or tum ho

Yeh jo kitaab-o-khawab k darmiyan manzilein hain

Mein chahti hun tumhare sath basar kerun

Yehi kul asasa-e-zindagi

Isi ko zaad-e-safar kerun

Mere dil k jaada-e-khush khabar pe

Bajuz tumhare

Kabhi kisi ka guzer na ho

Magar is tarah k

Tumhein bhi is ki khabar na ho...!!!
Raqs Karti Hain Gardish-e-Dauran,
Dar Khulay Hain Sharab Khano K,


Chai Peenay Ko Ab Kahan Jayen Faraz,
Bund Hogaye Hain Hotal Pathano K..
Parhte rhye logon ki payar ki kahnyan or dastanain.

bardi harani hovi kal shub apni hi dairy mia ek phool or ansu dakhe.
Kafan na Pehnao mujhe abhi Muskuraana baaki hai,

Janaaza na uthao mere kisi ki aana baaki hai,

Ke Nazar pher lo Farishto abhi mujse,

Abhi to uska hum se Nazar milaana baaki hai.
Main jo mehka to meri shaakh jala di us ne




Sabz mosam main mujhey zard hawa Di us ne
Wo Kia Gaya k
Raunaq-e-Dar-o-Deewar
Gaye Mohsin

Ek Shaks Le Gaya
Meri Dunya Samait Ker
Ehsaan kiya usne mujhe pyar sikhakar,

h0ti hai chahat kya ye muje samjakar.

Qurbani hai pyar ka asli matlab,

chh0d diya saath mera bas itna bata kar.
Koi muj se itna khafa q hai-

ye narazgi bewajha q hai-

kya phir ho gai mujh se hi koi khata-

ye dil is kadar darta q hai-

woh ruth jata hai muj se .

najane dil-e-nadan use manata q hai.

us se mera taulaq tu srif dosti ka hai.

phir asa hi hai tu mujhe us se muhabat q hai.

wo ik shakhs sub ko bhut hai payara.

lykn usk lye mere ankhon mian ansu q hai.
zindagi ki musafat main
khoshion ki chahat main
mausmon ki manind
lehjay badal jatay hain
sukhay paton ki tarhan
waday toot jatay hain
yunhi saath chalnay walay
rasta badal jatay hain
kion zindagi ki musafat main
zindagi se payaray log
choot jatay hain
humain vo bhool jatay hain

kaise lagi aap sub ko?????????????
Ek Hum Hain Jo Unhein Bhool Hee Paate Nahin,
Ek Wo Hain Jinhein Hamaari Yaad Tak Aati Nahin,
Ishq Ki Daastaan Ajeeb Daastaan Hai Jo,
Samajh To Aati Hai Lekin Samajhai Jaati Nahin
Yun meray khat ka jawab aaya…
Lifafay main aik gulaab aaya