Yaad Kerne Ko Hyn Dil Main

Yaad Kerne Ko Hyn Dil Main
Yaad Kerne Ko Hyn Dil Main
Hazaro''n Baatai''n

Par Meri Yaad Tou Uljhi Hy
Teri Zaat K Gird

Jab Tak Meri Duao''n k
Tum Hisar Main Ho

Ek Bhi Dukh Nahi Aayega
Teri Zaat K Gird ...
  

Jun, 01 2010     190 chars (2 sms)     2498 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aansu tumhari ankho se le jayenge hum.Sapne sunhre tumhe de jayenge hum.Zarurat ho hamari to aawaz na dena?Bus mud k dekhna.Saye me nazar aajayeng hum.
Lete Hoe Aksar Yeh Sochta Hon

FARAZZ

Agar Beth Kar Sochoon To Kya Hog
Aap paas raho ya dur
Hum dil se dil ki aawaj mila sakte hain
Na khat, na telephone ke mohtaz hai hum
Aap ke dil ko hichkiyon se hila sakte hai hum
Kis Ko Fursat Hey


Key Mujh Sey Behas Karey


Aur Sabit Karey


Key Mera Wajud


Zindagi Key Liye


Zaruri Hey....
Ya jo shafaf sa ik aks us jheel me tha

Koi chehra tha magar chand ki tamseel me tha

Yaad karta hon kahan bhool k aya hon usay

Aisa he aks meri soch ki zambeel me tha

Baat kya thi ye mujhe achi tarha yaad nahi

Haan tera zikr b tha aur bari tafseel me tha

Koi pegham tha ankhon me, so ankhon me raha

Masla asal to pegham ki tarseel me tha

Is naye nusKhy me tehreef hui hai warna Darwaish

Zikr mera b kahin pyar ki InJeel mein tha.../
Manna K Hamari Zaat Main Buhat Aieeb Hain Magar..!!

Biktey Nahin Khuda ki Qasam Hum Ba Zameer Log..!!
Mujh main Khushbu basi "Usi" ki hai,
Jese ye Zindagi Usi ki hai...

Wo kahin Aas-Paas hai Mere,
Ho Na Ho,Ye hansi "Usi" ki hai...

Ab to Ye khwab b nahi Mere,
Ab to ye Neend b "Usi" ki hai...

Ya to koi Kami nahi Mujh main,
Ya phir Mujh main kami "Usi" ki hai...
Mere Pukhta Iraday Khud Meri Taqdeer Badlein Gay Ghazanfar
Mere Hath Nahi Mohtaj Qismat Ki Lakeeron K
jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...
Bullandio''n Pe Hamesha Humain Nahi Rehna

Hum Aaftab Hain Aur Shaam Ki Azaan Tak Hain
na pakren daman-e-alyaas gardab-e-fana main hum.

k badter doob kar marne se hai jeena sahare ka.
Uqba main bhi milay gi yehi zindagi *Shakeel*.
Marr kar bhi chuth na paayen gai is dard-e-sarr say hum...