short Poetry

short Poetry
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,
  

Sep, 13 2011     136 chars (1 sms)     2648 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Waqt ki nazakat to dekho,
Tammanaon ki hasrate bhi dekho,
keh gaya jo ye DIL khamoshi se,
Sun liya TUMne bhi usse chupke se!!
ye jo TUMHARa DIL hai na,
asman se bhi unchha hai,
samandar se bhi gehra hai,
jise me mehsoos kar raha hun sadiyon se..khamoshi se..
Wo silsily wo shoq wo nisbat nahi rahi...
Ab zindagi main hijr ki vehshat nahi rahi...
Tota hai jab se us ki masihai ka talisam...
Dil ko kisi maseeha ki hajt nahi rahi...
Phir yon hua k koi shnasa nahi raha...
Phir yon hua k dard main shidt nahi rahi...
Phir yon hua k ho gaya masroof wo buhat...
Or hum ko yaad kerne ki fursat nahi rahi...
Ab kya kisi ko chahain k hum ko tu in dino...
Khud apne ap se b mohabbat nahi rahi...
Itney qareeb say guzar kar gaya hai
Andaaz be rukhi kay num kar gaya hai
Mayat pe mari kharay ho kar anjaan bangaya hai
Kehta hai logon say yeh kon mar gaya hai
Aana mari kabar par aur parna phir Fatiha
Aur phir muskara kar keh dena acha howa mar gaya hai
choom leti hain latak kar kabhi chahra kabhi lub,
.
.
.
tum ne zulfon ko bohat sir pe charha rakha hai..!!
Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake
dil ka kya hai ye to teri yadon k sahare g le ga.

amir

bat to ankhon ki hai jo tarpti hain tere didar k liye...
Jab lafzoon main bechani hoo
aur piyas bharti chali jay

jub ankhain rasta takti hoon
aur aas bharti chali jay

jub neend main khuab na hoon
aur raat bharti chali jay

jub pal pal dil dharkta hoo
aur muhabat bharti chali jay

jub sard shamain tanha hoon
aur....
yaad bharti chali jaye

Tab chupkey sey Dil ko bata dena Key muhbat bhari hawaein chalney lagi hain
mujhko too hosh nahi tumko khabar ho saayad






Loog kahte hain ke tumne mujhe barbaad kiya
Tere Pyaar Bhari Aankhon Mein Aansoo Achche Nahin Lagte
Chaahe Jitnaa Bhi Roye But Kabhi Sachche Nahin Lagte
Boondain Giri To Aankh Say Aansoo Bhi Gir Gaye,


Barish Ka Uski Yaad Say Rishta Zarur Hai . . . /
suna hoga bohat tum nay
kahin aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tum nay
kahin lahjay ki baarish ka
kahin sagar k ansu ka
magar tum nay kabhi ham dam
kahin dekhay? kahin parhay?
kisi TAHREER k ansu?
mujhay teri JUDAAI nay
yah mairaaj bakhshee hai
k main jo lafz likhta hun
wo saray lafz routay hain
k main jo hurf bunta hun
wo saaray batain kartay hain
meray sang is judaai mein
MERAY ALFAAZ martay hain!
zindagi pe is se bherh k tanz kya hoga faraz?
us ka yeh kehna k to shaayer hai, deewana nahin*