Raat kay pichlay pehar
uss ki shab bedar aankhoon main
nami ka ahsas uss kayy dil ka haal
bata raha tha
un aankhon main chayay surk doray
uss ki haya ki surkhi nahin
uss kay dil kay haal ki gahmaz thee
lekin shabash aay larki
tu nay usay kitni khobsorti say
apnay dil ka haal
aankhoon main chupa lia.
Tum Mujh ko Gudya kahtay ho
Theek Hi Kahtay ho______!
Khelnay walay Sub Hatoon ko
Main Gudya hi Lagti hoon
Jo Pahna Do, Mujh par Sajay ga
Mera koi Rung nahi
Jis Bachay k Haath Thama do
Meri Kissi say Jung Nahi..!!
KABHI SHABNAM TO KABHI SHABAB LAGTI HAI
TERI HANSI EK KHILTA GULAB LAGTI HAI
MAI PIYUN YA NA SAHI
LADKHADA KAR CHALTA HOON
KYONKI TERI GALI KI HAWA BHI
AB SHARAB LAGTI HAI................