Dua ka toota hua

Dua ka toota hua
Dua ka toota hua harf sard aah mein hai
Teri judayi ka manzar abhi nigah mein hai

Tere badalne ke bawajood tujhko chaha hai
Yeh aitraaf bhi shamil mere gunah mein hai

Azaab dega toh phir mujhko khwab bhi dega
Mein mutmaeen hoon mera dil teri panah mein hai

Jise bahar ke mehman khali chodh gaye
Wo ek makan abhi tak makiin ki chah mein hai

Mein bach bhi jaoon toh tanhayi maar daalegi
Mera qabile ka har fard, Qatl gaah mein hai....
  

Jun, 07 2010     450 chars (3 sms)     8955 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Marna tu is jahan mein koi hadsaa nahi

Is doar-e-nagawar mein jeena kamal hai... ;->
Humari Awaz Unhe Sunai Nahi Deti Hai

Ab To Door Tak Koi Umeed bi Dikhai Nahi Deti Ha

Ehsas Unhe Or Sab Dosto Ka Hai

Bass Hamari Tanhai Unhe DIkhai Nahi Deti Ha
Aap ko kahein ki Dil ko aur na satayein

Aap ko kahein ki Mill ke aag ek jalayein.

Aap ko kahein ki Khil ke mahak jayein

Aap ko kahein ki kya khata meri batayein.
KIS KO SUNAOON HAAL DIL-E-BEQARAR KA
BUJHTA HUA CHARAGH HUN APNE MAZAR KA
AE KAASH BHOOL JAON MAGAR BHOOLTA NAHI
KIS DHOOM SE UTHA THA JANAZA PYAR KA
Lagta Hay kai Raaton se Jaaga Tha MUSAVIR






Tasveer Ki Ankhon Se Thakan Jhank Rahe Hai
Nazro Ko Nazaaro Ki Kami Nhi Hoti,

Fulo Ko Baharo Ki Kami nhi Hoti.

Fir Q Hme Yaad Karoge Aap,

Aap To Aasman Ho,

Or Asman Ko to Sitaro Ki Kami Nhi Hoti.
Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha Faraz,



Mere Seenay Main Ussi Shaakh Ka Kaanta Utra..!!
sub kuch haar chuka hu apni zindgi bhi apni muhabat bhi.

aik jisum hi rah gaya koi saza dani hu tu de jao...
mana ki koi sath nahi
tanha hu is waqt

tuti hu par bikhari nahi
na hua hausla hai pastt

sach hai ki dagar kathin hai
aasan nahi safar

na hi koi rahnuma hai
jo bane mera humsafar

achcha hi hua tune mujhe daga de diya

soye hue junoon ko phir se jaga diya

nadaN thi tere ishq main khud ko fanna kiya

ho bhala teri bewafai ka jisne fir humeN zinda kiya

fir se wahi junoon hai

bulandion par hai hausla

tere har gunah ka mai khud karungi faisla!
hum bhi zinda hain saqi kisi chahne wale ki waja se..

warna do gazz zamin to kahen bhi mil jati hai...
Aise chup chaap hi mar jate hain

kuch log yahan

jism ki thandi si tareek sayaah Qabr k ander

na kisi saans ki awaaz

or na siski koi

na koi aah na jumbish

na hi aahat koi

aise chup chaap hi mar jaate hain

kuch log yahan

in ko dafnaane ki zahmat b uthaana nahi parti
''Milny Aaey ho Chhorny K Liye...

''Ais Tkaluf ki
Kia Zrurt Thi !!