Bicherte Waqt Kyun Na Perh Saka Nighaon Ki Zuban
Usey To Iss Fun Per Pura Uboor Tha
Ab Ek Mujrm Ki tarah Nadim hai Mujhe Chah ker
Kabhi Is Khata Per Usey bara Garor Tha
LOG kehtay hain k guftar yeh kam kertay hain
baat krtay hain magr soch k hum kertay hain
yeh jo insaan hai dushman hai zamany bher ka
meray MOLA hain jo bandon py karam kertay hain
Subah hoti hai to muskaan saja letay hain
raat hoti hai to hum ankh ko nam kertay hain
yeh to mumkin hi nahin khwab sabhi pooray hon
Saif khwahish ko bhi taqdeer main zamm kertay hain.