shayad k main kamzor jata

shayad k main kamzor jata
shayad k main kamzor jata us aakhri mulaqat mein..

mohsin

wo to baarish ki meharbani thi jis ne chupaya aansu mere..
  

May, 28 2010     123 chars (1 sms)     3280 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

teri yaad mein jeetey jeetey aik zamana beet gaya
hum ko apney app se bichrey zamana beet gaya

pani ke pardey par tum ne naam wafa ka likha tha
pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya

ankhoon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha
ankhoon mein khwaboon ko sulagtey aik zamana beet gaya

jatey jatey phir milney ki aas na detey acha tha
phir milney ki aas mein jaltey jaltey aik zamana beet gaya

kon suney faryaad kissi ki kon kissi ka dard sahe
apne app se batein kartey aik zamana beet gaya!!
Chaha na usne mujhe bas dekhta raha
MERI zindagi se wo is tarha khailta raha
Na utra kabi meri zindagi ki jhel mai
BAS kinaray pr betha pathar phenkta raha.
Apnae Sard kamrae mai
mein Usad Bathhi Hoo
Neem wa darechoo sae
Naam Hawaieen Atae hai
Mare Jism Ko Choo Kar
Aag Se Lagatti hai
Teara Naam Lae Lae Kae
Mujh Ko Gudgudatti hai
Kash Mare Parr Hotae
Tare Pass Urr Aatee
Kash mein Hawa Hotti
Tujh Ko Chouu Karr
Lout Aatti
Mai Nahi Magar Kuch Bhi
Sang DiL Rivajoo Kae
Aahnii Hasaroo Mai
Umer Qaid ki Mulzim
SIRF AIK LARKKI HOO !!
SIRF AIK LARKKI HOO....!!!
Kuch is tarah se torey han milny k silsily.

Sub naqsh apni yad k mita k chala gya.

Ma dhundta raha jisy milny k wasty

Wo shakhs mery shehr ma aa kr chala gya
Itney qareeb say guzar kar gaya hai
Andaaz be rukhi kay num kar gaya hai
Mayat pe mari kharay ho kar anjaan bangaya hai
Kehta hai logon say yeh kon mar gaya hai
Aana mari kabar par aur parna phir Fatiha
Aur phir muskara kar keh dena acha howa mar gaya hai
Shikwah hai meri chup ka Sarosh aaj unhii ko
jo log meri batoon se bezaar buhut thay
Kuch Tu Hee Mere Dard Ka Mafhoom Samajh Lay Faraz,



Hansta Howa Chehra To Zamaane Ke Liye Hay....
Subah Hoe To Aankhain Aisay Neend Se Bojhal Thin

FARAZ

Jaisay Koi Jag Raha Tha Mujh Main Sari Raat
Kuch to jite hai jannat ki tamanna lekar,

kuch tamannaye jina sikha deti hai.

Hum kis tamanna ke sahare jiye,

ye zindagi roz ek tamanna badha deti hai.
main jaan tu gaya hon apne jeene ki wajha.

per wo khuda se mere marne ki dua kaoun kerta hai.
aey kumsafar bus hamara sath itna tha

manzil teri alg thi rasta mera juda

jo dekha khwab tha mene wo chkna choor hona tha

kbhi jo yad ajoun to jana muskura dena

mjhe tou yaad main teri umr bhar ko rona tha
Pee hAy sharaaB har Gali hAr dukan se,


Ek dosti se ho gaye hay sharaaB k jaam se,


Guzray hAin hum ishQ main kuch aisAy muQaam se,


k nafrat se ho gaye hay MOHABAT K naam se.