Mujhe Tou Hosh Nahi

Mujhe Tou Hosh Nahi

Mujhe Tou Hosh Nahi Tumko Khabbar Ho Shayad. . .
Log Kehte Hyn K Tum Ne Mujhe Barbaad Kia
  

Jun, 04 2010     93 chars (1 sms)     3508 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ab To Kuch Na Hua Peeke Behek Jaane Se,
Baat Maikhane Ki Baher Gayi Maikhane Se,
Do Nigahoon Ka Jawani Mein Hai Aisa Milnaa
Jaise Deewane Ka Milnaa Kisi Deewane Se,
Dil Ki Ujdi Hui Halat Pe Na Jaaye Koi,
Saher Aabad Hue Hai Isi Veerane Se,
Daro Deewaro Pe Kabza Hai Udasi Ka Nazeer,
Ghar Mera Ghar Na Raha Unke Chale Jaane Se..
TAMANNAON MAIN ULJHAYA GAYA HOON
KHILONY DE KE BEHLAYA GAYA HOON
KAFAN MAIN KIYON NA JAOON MOON CHUPA KE
BHARI MEHFIL SE UTHWAYA GAYA HOON

ankho mai ansoo chupae nahi jate,
mukadar k likhe mitae nahi jate,

kaise churaon teri yadoon se daman,
dil mai basnay wale kabhi bhulae nai jate
kya chupaye ga naqab us k shaba ko GHALIB...

nigah-e-ishq se pathar bhi toot jate hain.
Bara Andhera Tha Un Ki Rahoon MEin Ay Dil
FARAZ
Mein Apna Ghar Na Jalata To Aur Kia Kerta
Bhulakar to dekho ek baar hume,

Zindagi ki har adaa tumse rooth jayegi.

jab bhi sochoge apno ke baare mein,

tumhe hamari yaad zaroor ayegi.
Khul k dilse milo to saza dete hain log,
Sache jazbat b thukra dete hai log,
dekh nahi sakta do insano ka milna,
baithe huwe do parindo ko b uda dete hai log.
Jo na hua kbhi wo ek raat ho gya ,


Chand ko Suraj se pyar ho gya ,


Chand Nikla talash mein aur kho gya


Chand k jatay hi aasman udaas ho gya ,


Suraj tou jalta hi raha intizar mein aur aag ho gya ,


Suraj ki khata se chand k lye andhera ho gya ,


Chand ne ki bewafai aur taaron k saath ho gya ,


Sila mila kuch is tarha dono pe girhan ho gya ,


Karte rahay berukhi hamesha k lye ,


Ek ban gaya DIN aur dosra RAAT ho gya..
Ajab Bat Hy Wo Mjsy Khfa B Raha

Wo Dosto Sy Mera Hal Pochta B Raha

Ajeeb Rung Mei Ki Us Ny Guftugo Mjsy

Labon Py Chup Tha Nigahon Sy Bolta B Raha
wo nahi mera mager us se MUHABBAT HE TO HAI
yeh agar rasmo riwajon se bagawat he to hai

sach ko maine sach kaha jab keh diya to keh diya
ab zamaney ki nazarar maein ye himaakat he to hai

dost ban kar dushmano sa wo satata hai mujhe
phir bhi us pathar dil pe marna apni fitrat he to hai

kab kaha mainey k wo mil jaye mujhko
uski bahon mein dum nikle ithni hasrat he to hai
Mere Hum Safar Kisi Roz tu
mere paas a mere ru ba ru

kisi roz sun meri guftagu
meri chahato me base huye

mere ansuon se bhare huye
meri shab k lamhe shumaar kar

meri zindagi na azaab kar
woh lafz tere jo nayab hon

wohi lafz mere naam kar
mujhe leke tu kahin door chal

zara haath mera tham kar
mere hum saafr kisi roz tu

mere pas a mere ru ba ru
meri khawahishon ko umeed de

meri zindagi ko naveed de
Apki muskurahatien kabhi kam na hon
apki ankhien kabhi nam na hon
apko milay zamanay ki har khushi
bhalay us khushi main hum na hon