Teri qurbat mili tera

Teri qurbat mili tera
Teri qurbat mili tera sahara na mila,
karib pahuch kar sahil ka kinara na mila,
dekhte rahe hum apni hatheli,
magar mujhe apni kismat ka sitara na mila.
  

Jun, 04 2010     155 chars (1 sms)     3406 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Chadni Raat Ka Mizaaj Mat Poch
Hum Garebon K GhaR Nahi Aati
Neend Bhi Ab Maut Ho Gaye Hai

FARAZZ

Bewafa Raat BhaR Nahi Aati
Tum kabi na meri azmaish kr sko gy,

jan se ziada kia frmaish kr sko gy,

pyar krty hain itna jitna samandr me pani,

kia samandr ki pimaish kr sako gy.
Ek Nazar Ki Aas Me
Khud Reh Jao Gy

Is Trha Mat Dkho Wrna
Dekhty Reh Jao Gy

Bila Jhijhak Keh Do
Aaj Apne Dil Ki Baat

Socho Gy Tou Zindagi
Bhar Sochty Reh Jao Gy
Yaadon mai usi ki yaad hoti hai,

Meri ankho ko usi ki talash hoti hai,

Kuch tum bhi dua kia karo dost,

Suna hai dosto ki dua mein farishto ki fariyad hoti hai
Apni Beeti Hui Rangeen Jawani Dega,
Mujh Ko Tasveer Bi Dega To Purani Dega.

Aadatein Milti Hein Sooraj Se Bohat Kuch Uski,
Waqt-e-Rukhsat Bi Wo Ik Sham Suhani Dega.

Mere Maathe Ki Lakeeron Mein Izafa Ker K,
Wo Bi Maazi Ki Tarha Apni Nishani Dega.

Barf Hojayega Jab Mere Lahu Ka Dariya,
Tab Kahin Ja K Wo Mojon Ko Rawani Dega.

Maine Ye Soch K Boye Nahi Khuwabon K Darakht,
Kon Jangal Mein Lage Pair Ko Pani Dega..? O_o
majburi kya hai unhone batai to hoti,

judai ki baat yun sunai na hoti,

qabar ki mitti bhi de dete hum unhe,

meri maut ki khuwaish jatai to hoti
Neend apni bhula k sulaya hum ko...

Aansu apney gira k hasaya hum ko..

Dard kabi na dena un hastiyon ko...,

ALLAH ne maa baap banaya jinko
Us K Hathon Main Hina,Paon Main Payal Hogi.Aik Dewar Magar Beach Main Hayal Hogi.Us K Jalwoon K Bohat Pass Main Honga.Lakin Wo Kisi Or Ki Taqdeer Ka Hasil Hogi.Surkh Kaproon Say Sajay Tar Na Mery Hongy.Us Ki Aankhoon Main Mery Pyar Ki Jhilmil Hogi.Jaty Jaty Wo Mujy Pyar Say Dakhy Gi Jab.Roty Roty Wo Meri RohMain Shamil Ho Gi.Mujy Say Wo Dor Bohat Dor Chali Jayee Gi.Ya Kaahani Bhi Sara-e-Bazam Mukamil Hogi.
ik haseen jheel ke jaisi hain tumhari ankhein
dill ko betaab sa karti hain tumhari baatein

kitna tanha sa karti hain tumhari baatein
kitna tanha sa main rehta hoon shab bhar

raat bhar sone nahi deti tumhari yaadein
Tujhe Kaise Bhulata Main?

Tujhe Main Bhool To Jata

Magr Tere Ta''aluq Se

Jo Chahre Samne Aaye

Jo Raste Samne Aaye

Jo Lamhe Samne Aaye

Jo Rishte Samne Aaye

Unhain Kaise Bhulata Main?

Tujhe Kaise Bhulata Main?
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
NA SAATHI HAI KOI NA SAHARA HAI KOI
NA HUM HAI KISI KE NA HAMARA HAI KOI
MAGAR ITNA TO KEH SAKTE HAI AAP KO DEKH KE
EK PYARA SA DOST HAMARA HAI KOI