Apni zat k mehwar mein

Apni zat k mehwar mein
Apni zat k mehwar mein tujhay gum kar loon
Ebadaton mein tera ishq raqam kar loon
Teray aanson say gar mumkin na ho wazu
Teray jism ki matti say tayamum kar loon
  

Jun, 03 2010     165 chars (2 sms)     3292 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Seenay se laga loon to lag jati hai seenay se

Tum se to kahin achi tasveer tumhari hai.
Mumkin hy k SAdiyon b nAzAr aye nA sorAj . . .


Es bAAr andherA Mere andAr se uthA hy . . . /
Neend apni bhula k sulaya hum ko...

Aansu apney gira k hasaya hum ko..

Dard kabi na dena un hastiyon ko...,

ALLAH ne maa baap banaya jinko
tujhe chaha hai jis sa''at mei mai ne..

wo sari umr hai 1 lmha nhi hai..
Meri baylous mohabbat ne duboya hai mujhe
Itna mukhlis houn ke her dil main uter jaata houn
Khul k dilse milo to saza dete hain log,
Sache jazbat b thukra dete hai log,
dekh nahi sakta do insano ka milna,
baithe huwe do parindo ko b uda dete hai log.
Rang hay, phool hay, khushbu hay, saba hay koi...

Mausam-e-gul ki tarah hum say mila hay koi...

Aik rishta jo lafzo''n may bayaa''n ho na sakay...

Hum kaun hai''n us k, aakhir hamaara kya hay koi..!
Likh Raha Hoon Main Un Khatto''n K Jawab

Jo k tum Ne Kabhi Likhe Hii Nahi

Un Jawabo''n Main In Ko Rakh Dena

Jo K Tum Ne Kabhi Parhe Hii Nahi
Sanson main B Shamil Ho



Laho main B rawaan Ho


Lakin merAy Hathon ki Lakeeron main kahan ho?
Kaho
woh dasht kaisa tha
jidher sab kuch luta ayee
jidher ankhain ganwa ayee

kaha
sailab jaisa tha
buhat chaha k bach niklain
mgar sab kuch baha aye

kaho
woh vasal kaisa tha
tumhain jab cho lia us nay
toh kia ehsas jaga tha

kaha
us rastay jaisay
jidher say bus guzrana tha
Makan lakin bana aye

kaho
woh chand kaisa tha
falak say jo utar aya
tumhari ankh main basnay

kaha
woh khuwab jaisa tha
nahin tabeer thee us ki
usay aik shab sula aaye
Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Deti?
Main Apni Zaat Ka Usko Hisab Kya Deti?
Jo Ek Lafz Ki Khushbu Na Rakh Saka Mehfooz!
Mai Us Ke Hath Mein Puri Kitab Kya Deti?
Jo khayal thay na qayas thay wohi log hum se bichar gay
Meri zindagi ki jo aas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein manta he nahi yeh dil wohi log hain mere humsafar
Mujhay har tarah say jo raas thay wohi log hum se bichar gay
Mujhay lamha bhar ki rafaqaton k azab or sataen gay
Jo meri umar bhar ki payas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh khayal saray hain arazi yeh gulab saray hain kaghazi
Gul-e-arzoo ki jo baas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein kar saka na qabool mein wohi shareek-e-rah-e-safar huway
Jo meri talab meri aas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh raat din meray sath hain wohi ajnabi k ajnabi
Who jo dharkano ki assas thay wohi log hum se bichar gay