Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?
Sochnay samajhnay say,
sath sath chalnay say,
doriyan simat ti hain,
faslay nahi chaltay,
khawab khawab ankhon main,
ratjagay nahi chaltay,
darguzar k halqay main,
maslay nahi chaltay,
dosti k raston ki,
parwarish zarori hai,
dosti k rastay main,
khafgiyan nahi chalti,
do dilon ki qurbat main,
Teesra nahi hota,
wastay nahi chaltay.
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!
Aik aik kar k,dubtay ja rahe hain sitaray,aur chand bhi kahin chup gya hai,main tumhara intizar kerte kerte thak gya hon,chali ao,chali ao k ab zindagi tumharey bin guzarti hi nhi,chali ao k ab mere seene main chupa,karb angari lay raha hai.!