MANZILAIN BHI USKI THI

MANZILAIN BHI USKI THI
MANZILAIN BHI USKI THI,
RASTA BHI USKA THA.
EK MAIN AKELI THI, KAFILA BHI USKA THA..
SATH-SATH CHALNE KI SOCH BHI USKA THA,
PHIR RAASTA BADALNE KA FAISLA BHI USKA THA...
AAJ KYUN AKELI HOON, DIL SAWAL KARTA HAI,
LOG TO USKE THE, KYA KHUDA BHI USKA THA....
  

Jun, 07 2010     261 chars (2 sms)     4711 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages


Mere Kadno''n K Nishaa''n
Rasty Se Mita Do
Yeh Na Ho
Main In Per Chal Ker
Dobara Tumhare
Pass Aa Jaon !!!
Nikal aate hai aansoo rone se pehle...

Toot jate hai sare khwab sone se pehle...

Kehte hai k pyar ek saza hai...

Kash koi rokta mujhe pyar hone se pehle....
Us Ne Mujh Se,

Poocha Ek Roz,

Tumain Chahne Walon Se,

Dar Kyun Lagta Hai,

Kyun Baghte Ho,

Kyun Khamosh Rehte Ho,

Kyun Tanha Rehte Ho,

Mujay Koyi Jawab Na Mila Kehne Ko,

Bus..!!!

Ek Ansoon Gira Aur Rul Gaya Khak Mein...
Wafa kartay thay to koi pouchta na tha .....

aik harkat bewafai ki hamain mashur kar gai ....!
Sakoon e dill k liyye Ishq toh bahaana tha
Wagarna thak k kahin toh thehar hi jana tha
tumhe to naz boht dosto''n py tha "jalib"

alag thalag sy ho kia baat ho gaei piaray.
hum to aaj bi us ko ussi tarah chahte hain..

jaise sookha hua darakht barish ka talabgar hota hy.
Wabasta Meri Yaad Se Kuch Talkhiyan Bhi Theen

Acha Kia MUjhko faramosh Ker Dia
Waqt Ek Yaad Se Wabasta Hai,
Yaad Ek Khwab Se Wabasta Hai,
Khwab Ek Naam Se Wabasta Hai,
Naam Ek Jaan Se Wabasta Hai,
Jaan Ek Pyar Se Wabasta Hai,
Pyar Ek dost Se Wabasta Hai,
Mera Waqt,
Meri Yaad,
Mere Khwab,
Meri Jaan,
Mera Naam...

Sub Kuch Sirf "TUM" Se wabasta Hai.
Muje us Se Muhabt Hy,

Usy b yaad ho shayad,

Abi ye kal ki batein hain,

Mera us se khafa hona,

Mera usko mna lena,

Sarapa iltija hona,

Wo ab b yad hy mj ko,

Us k israr krny pr,

Mera iqrar kr lena,

Boht dheemy se lehjy me,

Ye us k kaan me kehna,

Qsm se hy,
Qsm se hy,

"Muje tm se MUHABBAT hy"...!
Tere Hoonto pe kaanpti surkhi,
Tere Ankhon main boolta kajal,
Tere saanso ki narm narm Sadda,
Raat khaamosh Aur main Tanha.
Kiss qadar door hon zamany se,
Tere yaadon ke is sannaty main,
Mere wehshat ke pass Husssan Tera,
Raat khaamosh Aur main Tanha
Main Tujhay Dhoondnay Yaadon ki khuli sarkon pay

Khushk patoon ki tarah rooz bikhar jata hoon.