Itni dayer tu zinda reh lon

Itni dayer tu zinda reh lon
Itni dayer tu zinda reh lon
Jitni dayer ye teri muhabat
Apnay saray teer chala lay
Maray dil ki her kiyari mean
Teray dukhon k phole khila day

Itni dayer tu zinda reh lon
Teray Dukhay iss dil say uthtay
Ek ek shawan ko main sunn lon
Teray Dil mean chubhnay walay
Ek ek kantay ko main chun lon

Intni dayer tu zinda reh lon
Terat Ashkon k aaenay
Meri roh k her goshay mean
Tera Aks mislai kar dain
Mujh ko tujh sa aali kar dain

Itni dayer tu zinda reh loan
Teray Ujlay tan per chaay
Ghum k gharay gharay saay
Badh kar mujh per sham na kar dain
Mera Januo anjam na kar dain

Itni dayer....... .......
  

Jun, 02 2010     624 chars (4 sms)     2849 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
Choti Si Dosti,

Anjaani Mulakaatein;

Pal Bhar Mein Khatam Hote Din,

Khayalon Mein Doobi Lambi Raatein;

Yahin Se Shuru Hota Hai Pyaar, Hai Na..??
YuuN to har ik nigaah aati hai,
Mujh ko sun_ne ki chaah aati hai,
Mera har sher hai qurbaaN us par,
Jo tere lab se "waah" aati hai.
Kisi na kisi pe aitbar to ho jata hai...
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai...khubion se nai hoti mohabbat sada...
khamion se bhi aksar pyar ho jata hai...
Shayad mohabbat karne ki saza hai,

Jo ye judai ka zehar peete hai.

Humara dil to unke paas hai,

Kabhi socha hai usne hum kaise jeete hai.
Mujhe kisi k aaney ka itna yakeen tha "SAGAR"


Raat kat gai or main ghar he sajaata raha...!!!
shikwah na kissi se milney ka kya karain hum
do harf lafz dill main hain woh be judha judha
FChand Tanha Hai Aasmaan Tanhaa ..
Dil Mila Hai Kahaan Kahaan Tanhaa
Bhuj Gayee Aas Chup Gaya Taraa Thar-Tharaathaa Huwa Dhuwaa Tanha. .
Zindagi Kya Issii Ko Kehte Hai
Jism Tanhaa Hai... Jaan Tanhaa !!?
Humsafer Kahii mile bhi Dono Chalte Rahen Tanhaa Tanhaa
Jalthi Bujhthi sii Roshni ke pare Simtaa Simtaa sa Ek Makaan Tanhaa
Raah Dekha Karengaa Sadiyon Tak
Chod Jayenge Yeh Jahaa Tanhaa.....
Aao mil k phir chalain hum tum wafa ki raah per
Aur dua mangain k jazba ab fana koi na ho
Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka,

Shayad nazar se woh baat ho jaye.

Is umeed mein karte hain intezaar raat ka,

ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye.
Hamara Har Lamha Chura Liya Aapne
Aankhon Ko Ik Chand Dikha Diya Aapne
Hamein Zindagi To Di Kisi Aur Ne
Par Pyaar Itna Dekar Jeena Sikha Diya Aapne
Titliyon Ko Pakarna Uski Aadat Thi Purani
Her Aik Se Lerna Uski Aadat Thi Purani
ham Uske Saath Chal Diye Yeh Jante Huy Bhi
Raste Meion Chor Dena Uski aadat Thi Purani