Kuch Is Trah Se Usy Pyar Krna Parta Hy

Kuch Is Trah Se Usy Pyar Krna Parta Hy
Kuch Is Trah Se Usy Pyar Krna Parta Hy
K
Apny Pyar Se Inkar Krna Parta Hy
Kbhi Kbhi To Wo Itna Qareeb Hota He
K
Apne Aap Ko Dewaar Krna Prhta Hy
Khuda Ne Usko Ataa Ki He Wo Maseehaie
K
Khud Ko Jaan K Bemaar Krna Parta Hai,
Wafa Ki Raah Me Dushwariya To Aati Hain
Wafa Ki Raah Ko Hamwaar Krna Prhta Hy
Wo Hath Rakh K Mere Dil Pe Jab Pochta He
To Mjhko Dard Se Inkar Krna Parta Hy... /
  

Jun, 01 2010     396 chars (3 sms)     2693 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mere rooh ki haqeeqat mere ansuon se pocho,




mera majlisi tabassum mera tarjuman nai...
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Vo rulaa kr hans na paayaa der tak,
Jab main ro kar muskuraya der tak

Bhulana chaha agr us ko kbhi,
Aur bhi vo yad aayaa der tak

Bhuukhe bachchon ki tasalli k liye,
Maan ne phir paani pakaayaa der tak

Gun_gunata ja raha tha ik faqiir
Dhup rahatii hai naa saya der tak
Shab-e-Tanhai
Usey Kehna

Humari neend Laut
Dy
Humara Chain Lauta
Dy
k
Uski Yaad Me
Be-hadh Aziyat Hy

Ya Apne Naqsh Dho
Jaye

Ye Phir !

"MERA HO JAYE"
poochne aa gaye wo bhi mera haal k khamosh kayon hon...

jo shakhas meri hansi ko aik jhoot samjhta tha...
KiA Guzarti Hay DuniA mAin tAnhA shAkhs pAr




Aik LamhAy ke liye Khud se BichAr kr Dekh
Jab bhi tere bina raat hoti hai
Deewaro se aksar baat hoti hai
Sanata poochta hai sawal humse
Tere naam se hi shuruwaat hoti hai
Ik Khwab Hay Or Isko Khona Bhi Nahi Hay
Tabeer K Dhagay Main Pirona Bhi Nahi Hay

Lipta Howa Hay Dil Se Kisi Raz Ki Soorat
Who Shaks K Jisko Mera Hona Bhi Nahi Hay

Ye Ishq-E- Mohabbat Ki Rivayat Bhi Ajeeb Hay
Paya Nahi Hay Jisko Usay Khona Bhi Nahi Hay

Jis Shaks Ki Khatir Mera Ye Hal Howa Hay
Usko Meray Marnay Pey Rona Bhi Nahi Hay

Be-Khuloos Logo''n Se
Ijtinab Krna Hy

Mujhy Apne Rishto''n Ka
Ehtisab Krna Hy

Usay Bhool Jana Hy Ya
Usay Yaad Rkhna Hy

Dukh Tou Ek Jesa Hy Bs
Intikhab Krna Hy
Maira Dil Bhi Shoq Say Toro Ek Tajurba Aur Sahi
Laakh Khilone Torr Chuke Ho Ek Khilona Aur Sahi


Raat Hai Gham Ki Aaj Bujha Do Jalta Hua Har Ek Chiraag
Dil Mein Andhera Ho Hi Chuka Hai Ghar Mein Andhera Aur Sahi


Dam Hai Nikalta Aashiq Ka, Bheer Main Aa Kar Daikh To Lo
Laakh Tamaashe Daikhe Honge Ek Nazaara Aur Sahi


Khanjar Le Kar Sochte Kya Ho Qatl-e-Murad Bhi Kar Daalo
Daag Hain So Daaman Pe Tumhaare Ek Izaafa Aur Sahi
Ab kiya dhoondhte ho jaly hue kaghazon ki rakh mein faraz "
Wo jis ka unwan tum the wo afsana hi jal gaya.....!!
Bichre Huay Logon Pe Taras Khao Kisi Din

Aisa Ho Jaye K Na Yad Aao Kisi Din

Sawan K Bina Jaisay Ho Jati Hay Barish

Aisay Hi Mere Pas Chalay Aao Kisi Din