Jana kaha tha or

Jana kaha tha or
Jana kaha tha or kaha aa gaya!
duniya me bankar mehman aa gaye!
Abhi to zindagi ki kitab thori b nai padhi aur na jane kitne imtihan aa gaye.
  

Jun, 05 2010     143 chars (1 sms)     2498 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

idhar udhar ki baat na kar ye bta k qafla kis terha luta.

mujhe gila nahi rahguzar se mujhe gila teri rahbri ka hai.
na milta Gham to barbaadi ke afsaanay kahaan jaatay

agar duniyaa chaman hoti, to viraanay kahaan jaatay

chalo achaa huaa apnon mein koi Ghair to niklaa

agar hotay sabhi apanay, to begaanay kahaan jaatay
naaz karne ka tujhe haq hai..

hum jese dost bhi muqaddar se milte hain..
Tumako Dekhaa To Ye Kayaal Aayaa
Zindagii Dhuup Tum Ghanaa Saayaa

Aaj Phir Dil Mai Ek Tamannaa Kii
Aaj Phir Dil Ko Hamane Samajhaayaa

Tum Chale Jaaoge To Sochenge
Hamane Kyaa Khoyaa, Hamane Kyaa Paayaa

Ham Jise Gunagunaa Nahiin Sakate
Vaqt Ne Aisaa Giit Kyuun Gaayaa... :(
ajeeb tarha sy socha hai zindagi k liye
ky zakham zakham mein khilta hon mein her khushi k liye

woh mujh ko chorr gaya toh mujhy yaqeen aaya
koi bhi shaqs zarori nahee kisi k liye

sawal ye hai k uss ny kabhi nahee pocha
ky aap sochty kaisy hain shairee k liye

usey khabar hai k uss ka koi nahee apna
aik aashnai bhi kafi hai ajnabie k liye

khata kisi ki ho lekin saza kisi ko mily
ye baat jabr ny choori hai her sadee k liye

ye saadgi thi mairi ya k Saad chahat thi
ky mainny khud ko paish kiya dil lagi k liya
Tune Dekha hay kabhi

Chaand pe Behta Hua Paani?

Maine Dekha Hay Ye Manzar

Uss K Rukhsaar Pe Aksar...!!!
phir yahan kya maray hone ka jawaz!!!!

gahr nahein koi muntazir mera,,,,
Dil to maira udas hai Meer
Par yeh shehar kuoon saaen saaen karta hai
Teray Kochay Se Aub Mairy Taulq Wajbi Sa Ha.





Mager Jub Be Guzerta Hon Ankhein Bheg Jati Han.
Kisi ki chahat pe zinda rehne walay hum na thay''Kisi per mar mitnay walay na thay''Aadat si ho gayi hai tumhai yaad karne ki''Werna kisi ko yaad kerne walay hum na thay...
pooch lo mere bastar ki har salwaton se..

raat bhar uski yaad ne kitna tarpya hai..
Agar Ehsaas Ho To Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos


,
Ye Wo Jazba Hai Jo Lafzon Mein Samjhaya Nahi Jaata



Dosti Ke Liye Mohabbat Aur Khuloos Hai Lazim



Har Haath Milane Wale Ko Dost Samjha Nahi Jaata



Bahut Kam Hai Log Jo Dil Mein Utar Jaate Hai



Har Raah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jaata



Koshish Se Badal Jati Hai Takdeerein



De Kar Ilzaam Qismat Aur Dil ko Behlaya Nahi Jaata