sar mein sauda bhi nahi dil mein tamana bhii nahii
lekin is tark-e-mohabbat kaa bharosaa bhii nahii
muddatein guzarii terii yaad bhii aaii naa hamein
aur ham bhuul gae hon tujhe aisaa bhii nahii
ye bhi sach hai k mohabat mein nahi main majbur
ye bhii sach hai ke teraa husn kuchh aisa bhii nahii
badagumaN ho ke mil aaii dost jo milanaa hai tujhe
ye jhijhakte hue milanaa koi milanaa bhii nahii
muuNh se ham apane buraa to nahii kehte, ke ''Firaq''
hai teraa dost magar aadamii achchhaa bhii nahii.n