Kuch beete hue lamho

Kuch beete hue lamho
Kuch beete hue lamho se mulakat hui,

toote hue sapano se baat hui.

Yaad jo karne baithe un tamam yadon ko,

to aapki yadon se hi shuruwat hui.
  

Jun, 03 2010     150 chars (1 sms)     3840 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kbhi Tou Miley Pehli
Mulaqat Ki Terha

Bigra Hi Rehta Hy Kyun
Halaat Ki Terha

Wo Ek Dost Jo Lagy
Jaan Sy Pyara

Mujhy Waqt Tou Deta Hy
Magar Kheraat Ki Terha
Ab kyun oss din ki fiker kero,
jab dil tokray tokray hojaiga,
or saray gham mit jaingay,
tum khof o khatar say der guzer kero,
jo hona hay so hona hay,
hasna hay tou hasna hay,
ger rona hay tou rona hay,
tum apni kerni ker guzero,
jo hoga dekha jaiga.
Tumhein Hi To Zindagi Kehta Hoon
Tumhein Hi Dekh Kar To Main Jeeta Hoon
Tumhare Hi Khayalon Main Pagal Rehta Hoon
Tumhein Hi Har Waqt Sochta Rehta Hoon
Tumhein Har Dua Main Mangta Hoon
Tumhein Hi To Bus Main Chahta Hoon
Tumhein Har Jaga Main Talaash Karta Hoon
Tumhein Hi Har Simt Dekhta Hoon
Jub Tum Ho Mere Saamne To Itna Karta Hoon
Ke Apni In Aankhon Main Tum Ko Basa Leta Hoon
Tumhein Kaise Bataoun Kitna Pyar Tum Se Karta Ho
Houslay Zindgi K Dekhtay Hain..

Chalo Kuch Roz Jee K Dekhtay Hain..

Barishon Say To Pyas Bujhti Nahin..

Aao Ab Zeher Pee K Dekhtay Hain.../
Bewafai Se Pereshan B Ho Jate Hain
Naram Jhonkay Kabhi Tofan B Ho jate Hain
Humne Mehboob Jo Badla To Taujab Kesa
Log Kafir Se Musalman Bhi To Ho Jate Hain
Wo Sakhs Raat phir meri Hasti pe Cha Giya.

Itna Qareeb aya ky Dil main Sama Giya.

Wo iek pal jo de giya asoodgi ki kher.,

Jazboon ki tez dhoop main pagal bana giya,

Pehly mery Wajood pe Utra wo boond boond,

Barsa to phir ghata ki tarha mujh pe cha giya,

Wo jab mila to piyas se lab khusk thy mery,

Lota to hasratoon ko wo pani pila giya,

Paband kar giya hay mujhy lamhoon ki qaid main,

Ankhonn pe apni yaad ky pehray bitha giya..........
Jab tak lafz wazu nahi karte,
Hum apki guftagu nahi karte,
Kuch dil ka rishta aisa hai ap se,
Jis dua mein ap na hon,hum aisi dua nahi karte...
use maloom hai meri is halat ka kon hai shakhs..

Per bhi mujh se kahta hai koi parshani tu nahi.
Is Peyari pryari Rena ko
Is Dukh bhari chena ko
Abhi Marna nahi tha jeena tha
Kuch Zehar dukhon ka peena tha
Is Chanda jesi Soorat ko
Abhi marna nahi tha jeena tha
Par maar deya hallat ne us ko
Cheen li Waqat na har khuahish
ho gai Chiriya band Zindan mein
Phir to us ko rona tha
Dukh ki baat to ye ha ke
Us Sohni Sohni Chiriya ko
Abhi marna nahi tha jeena tha.
mere zakham abhi bhare nhi
main dawa keron k dua keron

apne zakham ka merham keron
ya tere vaar ka intizaar

koi or de mujhe naya zakham
main zakhmon se hi saja keron
Sheikh Sadi ka Qaul Hai,
Talwar 2 Qisam ki Hoti Hai,
1-Lohay ki
2-Muhabbat ki
Lohay ki Talwar 1 ko 2 kar Deti Hai
or
Muhabbat ki Talwar 2 ko 1 Kar Deti Hai........... :o)
Us muqam per hun jahan na maal na naam ka charcha hai

Apno se main b bichar gaya wohi qisaye aam ka charcha hai

Mout k dar per kara hun main jannat ki aas liye huwe

Zulam tou hai k haat mein mere apne amal ka parcha hai