woh ashk ban ke meri

woh ashk ban ke meri
woh ashk ban ke meri chashm me tarr me rehta hai
ajeeb shakhs hai paani ke ghar mein rehta hai
  

Jun, 04 2010     95 chars (1 sms)     3517 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

apnay haathoon se yun chehare ko chupaate kion ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kion ho

tum kabhii merii tarah kar bhii lo iqaraar-e-vafaa

piyar karate ho to phir piyar chupaate kion ho

ashk aunkhoon main merii dekh ke rote kion ho

dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kion ho

in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum

mere shaanoon se ye zulf hataate kion ho

roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kion ho

milane aate ho to phir laut ke jaate kion ho
Us k Kehny Par Us Ki
Tamanna Bhi Chorh Di
Hum Ny

Zara Hum Bhi Tou
Dekhai''n Kon Chahta
Hy Usay Humari Terha !!!
yeh Na Ho Kahein tujh ko
La,jawab kar Doon Main


kuch sawal Rehne Dy,
kuch jawab Rehne Dey
Ik Yehi Pehchan Kafi Hai Meri Pahchan K Liya..
Jo Rasta Aam Hojay Us Se Bacch Kar Chala Kartay Haiiin.
uski ankhon me nazar aata tha sara jahan muj ko..

wassi

magar uski ankhon me khud ko kabhi dekha hi nhi..
Meri Zubaan Se Meri Daastan Suno To Sahi
yaqin karo na karo meherban suno to sahi

chalo ye maan liya mujrim-e-mohabbat hain
hamare jurm kaa hamse bayan suno to sahi
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
yeh bhi ma'' loom hay na aao gaey
muddaton se par intizaar wohi

meri wehshat ka rang bhi wesa
aur khaali tera diyaar wohi
Her jaanib samundar hai
Kinaara kiyun nahi milta..
Mere Maula bataa
Mujhko sahaara kiyun
nahi milta..
Mujhe is shehar mein din bhar
Hazaaron log milte hein..
Jissay mein doondnay nikla
hoon woh pyaara kiyun
Nahi milta..
Jissay Chaha, Jissay Pooja,
Jissay Socha, Jissay Likha,..
Mere Maula mera us se
Sitaara kiyun nahi milta..
Bohat hi door hai manzil Bhatakna
hai kab Talak,
Yah Rab..
Kissi ki Ankhon ka mujhko
Ishara Kiyun Nahi Milta...
Meri TAkmeeL mAin HissA hAy TumhArA Bhi bohAt . . .


MAin AgAr TuMsE nA miLtA tO AdhUrA HotA . . .
Dosti Ko Dolat Ki Nazar Se Na Dekh Ae Ghalib ...

Ahl-e-Wafa Aksar Ghareeb Hua Kerte Hain ...
qasam un mast ankhoon ki main wo lub-raiz-sagar hoon..

jo masti main chalk jaoun,tu mehkhano ko lay dooboon...