Yaadon ke khuwaab dikhati hain

Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain
Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain
Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Ek aan main faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain
Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain
Ek khoj main bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain
Yeh royen to Dil bhi rota hai
Kab in se judda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain
Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
  

Jun, 05 2010     721 chars (5 sms)     2604 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Nazar Se Ishq Ki Jab Roshni c Chanti Hy

Zameen Dil Ki Tamanna K Phool Janti Hy

Kisi Ko Pyar Main Asaan Hai Jaan Keh Dena

Nibhate Waqt Magar Jaan Par Hii Banti Hy
Thay Bohat Be-dard Lamhe Khatam-e-Dard-e-Ishq K

Thii''n Bohat Be-mehar Subhai''n Meherbaan Raato''n K Baad
zindagi k khel ko mere siwa jane ga kaun…






zindagi kuch bhi nahi uski tamana k siwa..
Dil toorna humari aadat nahi,dil hum kissi ka dukhate nahi,bharosa rakhna meri wafaon pe, dilm mein basa kar hum kissi ko bhulate nahi..,
Bicherte Waqt Kyun Na Perh Saka Nighaon Ki Zuban
Usey To Iss Fun Per Pura Uboor Tha
Ab Ek Mujrm Ki tarah Nadim hai Mujhe Chah ker
Kabhi Is Khata Per Usey bara Garor Tha
Jis DIL mein basa tha pyar tera;
Woh dil to kabhi ka tod diya;
Badnaam na tujhe hone deinge;
Tera naam bhi lena chod diya......!!
sAb K Honton Pe Tabassum tha Meray Qatl k Baad




Jane kiya SOCH K rota raha Qatil merA.
Aankho mein kyun aanso jalak jaate hai,
Tanhaiyo mein kyun gham yaad aate hai,
Aanso poch kar koi yeh bata de humein,
Aksar zindagi mein ghum barbar kyun ate hain...
KuN bechain hai tu aaj itna
Kia gham tujhay satata hai
Kis baat ki hai kasak tujhko
Kia dukh tujhay rulata hai
mra har iqrar,tre har inkar se acha hoga
mra har din,tri har rat se acha hoga
yaqen na aye,to apni doli se jhank lena
mri miyat ka janza,teri doli se acha hoga
Na koi manzil hai na kinara hai koi,

Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara

Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,

kabhi Zindagi ko tarse

kabhi maut ko pukara.
chaht marz banti ja rahi hai,judai qarz banti ja rahi hai,tujh say mill kar udaas lamhoon main,mohabbat farz banti ja rahi hai.