Ek din inhi kabro mein

Ek din inhi kabro mein
Ek din inhi kabro mein meri laash hogi......
Khuda kasam us din to sabse udaas hogi.......
Phir tujhe mujhse milne ki aas hogi....
aur tu behad hataash hogi.......
  

Jun, 05 2010     166 chars (2 sms)     2196 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Rakhta Hai Mujhay Thaam K Girna Nahi Daita
Main Toot Bhi Jaon To Bikharnay Nahi Daita

Is Dar Se Kahin Kaanta Na Chub Jaye Haath Main
Wo Phool Bhi Mujh Ko Pakarnay Nahi Daita

Wo Is Qadar Hasas Hai Muhabbat Main Meri
Koi Ghum Meray Seenay Main Wo Palnay Nahi Daita

Jis Raat Ki Tarreqi Se Ata Hai Mujhay Khauf
Us Din Ko Phir Raat Main Dhulnay Nahi Daita
wafa nibhany ki
jo Qeemat
mujy ada karna pari hai
us sy mujy
aisa lagta hai
jasy
mera wajooooooooood
kisi haqeer tinky ki tarah
ider uder
hawa ma
bikhar raha hai………!
Tanha Chor Kar Humko Hosla Bhi Detay Ho
Sans Cheen Kar Jeenay Ki Dua Bhi Detay Ho
Ik Taraf Judai Ka Tazkira Bhi Jaari Hai
Oar Muskuranay Ka Mashwara Bhi Detay Ho
Teri yaad bhi ek beeta hua kal hai,
Jise bhula na paun aisa wo pal hai,
Kabhi mere dil ki gehraiyo se guzar kar to dekh,
Mere wajood se juda tera har pal hai.
Chup rehne se baat nahi banti,
Dil ki baat dil main dabane se baat nahi banti,
Maana ke pyar ka Izhar karna Mushkil hai….
Magar dil ke armaan chupane se baat nahi banti.
Tum tu chand ho jisay sab log yad kartay hain
Hamari qismat tu taron jaisi hai
Yaad to door
Log apni dua k liye hamaray tootnay ki faryad kartay hain
KISI KA CHEHRA GHOOMTA HAI AANKHON MEIN MERI,KSEY PALKON KO KAHUN KI KHAMOSH RAHO ! SUKOON MILA HAI ARSEY SE INHEY, KESEY DHADKANO SE KAHUN KI DHIREY CHALO
Raat sunti rhi mai sunati rhi,

Dard ki dastaan mai batati rhi,

Log,logoon se chahat nibhatay rahay,

Ik wo tha,jo maira dil jalata raha.
mjbooriya''n kahen k isy saadgi kahen...

jis ne b hns k baat ki hum sath ho lye!!
Ishq k ilaqay mein
Hukm-e-yaar chalta hai
Zaabtay nahin chaltay
Husn ki aadat mein aajzi tu chalti hai
Martbay nahin chaltay
Dosti k rishton ki parwarish zaroori hai
Silsilay taaluq k khud say ban tu jatay hain
Laikin in shagoofon ko
Tootnay bikharnay say
Rokna bhi parta hai
Chahton ki matti ko
Aarazo k poday mo
Seenchna bhi parta hai
Ranjishon ki baton ko
Bhoolna bhi parta hai
Kyou k
Ishq k ilaqay mein hukm-e-yaar chalta hai
Zabtay nahi

Kya faaida hua hai ab intezaar karke
Gardish mein aagaye hai..Hum tumse pyar karke
Iss daur mein Wafa ka..Hum karobaar karke
Sunnat nibha rahe hai..Dushman se pyar karke
Baithe-Baithe jindgi barbad na kijiye. Jindgi milti hai kuchh kar
dikhane k liye. Roke agar aasman hamare raste ko. To taiyar ho jao aasman
jhukane k liye.