Tujhe Zindagi Ka Shaoor Tha..

Tujhe Zindagi Ka Shaoor Tha..
Tujhe Zindagi Ka Shaoor Tha..
"Tera Kya Bana?"
Khamosh Kiun Hai Mujhe Bata.."Tera Kya Bana?"
Wo Jo Naseeb Se Teri Jang Thi Meri Bhi To Thi,
Main To Kamiyab Na Ho Saka..
"Tera Kya Bana?"
Nayi Manzilon Ki Talash Thi So Bichar Gaye,
Main Bichar K Tujh Se Bhatak Gaya.."Tera Kya Bana?"
Main Muqaable Mein Shareek Tha Faqat Es Liye,
Koi Mujh Se Aa K Poochta..
"Tera Kya Bana?"
Mujhe Ilm Tha K Shikast Mera Naseeb Hai,
Tu Umeedwaar Tha Jeet Ka, Tera Kia Bna?
  

Jun, 01 2010     464 chars (3 sms)     6840 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Achchhaa Saa Ko_Ii Mausam Tanhaa Saa Ko_Ii Aalam

Har Vaqt Kaa Ronaa To Bekaar Kaa Ronaa Hai
shikayt thi tum se gila na kar sakay

ijazat nahi zuban ko tere khilaf bolne ki..
teri yaad mein jeetey jeetey aik zamana beet gaya
hum ko apney app se bichrey zamana beet gaya

pani ke pardey par tum ne naam wafa ka likha tha
pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya

ankhoon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha
ankhoon mein khwaboon ko sulagtey aik zamana beet gaya

jatey jatey phir milney ki aas na detey acha tha
phir milney ki aas mein jaltey jaltey aik zamana beet gaya

kon suney faryaad kissi ki kon kissi ka dard sahe
apne app se batein kartey aik zamana beet gaya!!
Dard Jitna Hai Meri Nigaho Me,

Paoge Na Utna Kisi Ki Raho Me,

Bitani Chahte The Zindagi Jiski Baho Me,

Maut B Na Mil Payi Unki Panaho Me.
Sahil udaas Tha K Samadar udaas Tha

Lagta Tha Jaise Sara Manzar Udaas Tha

Loti Falak se to Bari Dilgeer Thi Dua..!!

Ek Khuwab Tootny Pr MuQadar udaas Tha...!!!
MAHAk TERi AAj BHi MERi SANSOn Me HAi
HAr Ek AD''Da TERi MERi ANKHo Me HAi.
To BHALAy MITa De APNe DIl Se MERa WAJOOd.
MAGAr TERi JAGAh AAj BHi YADOn Me HAi.
Apny Buss Main Kar Laity Ho.
/
Uff Kitna Be-Bus Kar Daity Ho..
Saqiya ek nazar jaam se pehlay pehlay,
Hum ko jana hai kahin shaam se pehlay pehlay.

Khush ho ay dil, k mohabbat to nibha di tun ne,
Log ujar jatay hain anjaam se pehlay pehlay.

Ab Us k zikr pe hum baat badal detay hain,
Kitni rughbat thi Us k naam se pehlay pehlay.

Samnay umar pari hai shab-e-tanhaai ki,
Wo mjhay chor gaya shaam se pehlay pehlay.

Kitna acha tha k hum b jiya karte the,
Ghair-maroof se, gumnaam se pehlay pehlay.
Har Gira Ghungat Haya Ka Nhi Hota

Har Utha Hath Dua Ka Nhi Hota

Bujh Jate He Aksr Diye Hamri Hi Galtiyo Se

Hr Bar Kasur Hawao Ka Nhi Hota
Un ke Andaz-e-Karam un pe wo aana dil ka,
Haye wo waqat wo baten wo Zamana dil ka,
Na suna uss ne tawajoh se Fasana dil ka,
Umer Guzri par Daed na jana dil ka,
Dil Lagi dil ki Lagi ban ke Mita deti ha,
Rog Dushman ko b Ya Rabb na lagana dil ka,
Wo b apnay na huye dil b geya hathon se,
Aisay aane se to behtar ha na aana dil ka,
Un ki Mehfil mein “PREET” un ke tabusam ki Qasam,
Hum dekhtay reh gae hath se jana dil ka,
Agar woh rooth jaati hai,
to hamaari jaan nikalti hai

ye saansen jaari rakhne ko
hum uski maan lete hain
Ek Sin Mili Wo Mujh Sy
Bujhi Bujhi Si
Jhuki Jhuki Si
Udasio''n Main Rachi Basi Si

Jo Main Ny Poocha
Udaas Kyun Ho .. ?

Jhuka K Palkai''n
Chupa k Chehra
Lagi Wo Kehne !

Udaasio''n Ka Sabab Tum Hi Ho
Mere Naseebo''n Main
"Tum Nahi Ho"