Tum Akser Yaad Aty Hoo
Tum Akser Yaad Aty Hoo
Aur Itna Yaad Aty Hoo
Kah Yadoon K Sabhi Moti
Meri Umeed K Ansu
Mery Yeh Zabbt K Gohar
En Aankhon K Samundar Se
Meri Palkoon K Sahil Per
Chaly Aty Hain Chupky Se
Dil mein na ho Jurrat tu mohabbat nahi milti
khairat mein itni badi daulat nahi milti
khuch log yunhi shaher mein hum se bhi khafa hein
Kya karen??har aik se apni tabyat nahi milti".....
Kis ehad ki batain karte ho
kab kon kisi ka hota hey
Kub kon kisi ki Chahat main
Yun Zehar ka Sagar peeta hey
Ye Hijr,Murawat Mehr-o-wafa,
Sub Rasmi Rasmi Batain hain,
Her Shakhs Khudi ki Masti main,
Bus Apni Khatir Jeeta Hai :)
Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.