Na zindagi mili na wafa mili
Najany kyou hum say har khushi khaf mili
Jhuti muskan liye apnay ghum chupatay rahay
Sachi mohabbat karnay ki bhi kia khoob saza mili
Waqt ki adalat me
Zindagi ki surat me
Ye jo tere haatho me
Ek sawaal nama hai
Kisne ye banaya hai
Kis liye banaya hai
Kuch samajh me aaya hai
Zindagi ke parche ke
Sab sawaal laazim hai
Sab sawaal mushqil hai....
~*~ woh...mujhe mila hota ~*~
aasmaaN ke malik say
do jahaN ke raziq say
aur kuch nahin chaha
sirf itna manga hai
pur-khuloos chahat ka
bay reya muhabbat ka
bay panaah rayazat ka
itna to sila hota
woh...mujhe mila hota
Usne kaha tum main pehli c baat nhi.main nay kaha zindagi main tera sath nhi.usne kaha ab bhi kisi ki ankhon mian doob jatay ho?main nay kaha ab kisi main wo gehrai nhi.usne kaha kyun itna toot k chaha muje?mene kaha insan hon pathar to nhi.usne kaha kia main bewafa hon?mene kaha muje wafa ki talash nhi.usne kaha bhol ja mujh ko..mene kaha tum haqiqat ho koi khawab nhi. :)