Roz Subha Khud Say Ek Wada Kartay Hain
Tujhay Iss Dil Say Bhulanay Ka Irada Kartay Hain
Apni He Baat Say Mukkarr Jatay Hain Maloom Nahi Kyoun
Bheegti Ankhon Ko Khuwab Tornay Ke Liye Amaadah Kartay Hain
Mumkin Ho Aap Say Tu Bhula Dejeyey Mujhe
Pathar Pay Hoon Lakeer Mita Deejeyey Mujhe
Har Roz Mujh Say Taza Shikayat Hay Aap Ko
Mein kya Hon Aik Bar Bata Dejay Mujhey
Aarzo hai wafa ban k taray sath raho
dharkano ki sada ban k taray sath raho
maray honto say JISAY mout bhi na cheen sakay
wo zindagi ki dua ban kay taray sath raho