Apne Hatho Ki Lakiron

Apne Hatho Ki Lakiron
Apne Hatho Ki Lakiron Ko Khurch Dala Maine
Ksi Aamil Ne Kaha Tha Tu Paraya Hoga
Sham Hote Hi Sare Diye Bujha Deta Hun
Ye Dil Hi Kafi Hy Teri Yad Me Jalne K Liye
  

Jun, 07 2010     164 chars (2 sms)     2435 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Naam Tha Badal Gaya
Mein Sham Tha Dhal Gaya
WO Nazar Tha JhuK Gaya
MeiN tehreer Tha Mit Gaya
WO Shama Tha Pigal Gaya
Mein Perwana Tha Jal Gaya
Wo Ashk Tha Beh Gaya
Mein Dard Tha Seh Gaya
WO Chand Tha Chuup Gaya
Mein Badal Tha Baras Gaya
WO Tofan Tha Guzar Gaya
Mein Gulshan Tha Bikher Gaya
Teri yaadein ßhi,
tujh si zalim hain,

"SaNaM,

Jab dekhti hain
''TANHA'' hamein,
satane chali aati
hain,,,
Be-Rabt Si Tehreer Ibaarat Nahi Hoti,

Hathon Ki Lakiron Me To Kismat Nahi Hoti.

Sajday Me Dikhawa Ho,To Sajda Nahi Hota.!

Gardan K, Jhukane Se Ebaadat Nahi Hoti.

Wo Shakhs Mohabbat Se Humesha Raha Mehroom..

Auron K, Liye Jis me Mohabbat Nahi Hoti.

Chehre Ka Singhaar Kabhi
Kaam Na Aaya.

Seerat K, Bina Koi Bhi Surat Nahi Hoti.

Shahkaar Ki Takmeel Main Shamill Na Ho
Gar Fiker.

Tasveer To Ban Jati Hai Moorat Nahi Hoti.
Kaanch ko chaahat thi patthar ko pane ki,
ik baar phir tutkar bikhar jane ki,
bas itni si chahat thi us diwane ki,
apn tukdo me uski tasveer sajane ki.
Aisi Hawa Chali Sab Phool Jal gaye
Sab Se aziz Log B Kitne Badal Gaye
Uss Ke Begair Kis Ko jeenay Ka Guman Tha
Hum Khud B Sochte Hain K Kese Sanbhal Gaye
Us k Kehny Par Us Ki
Tamanna Bhi Chorh Di
Hum Ny

Zara Hum Bhi Tou
Dekhai''n Kon Chahta
Hy Usay Humari Terha !!!
Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
Tu Chaley Saath Tou
Aahat Bhi Na Aaye Apni

Darmiyan Hum Bhi Na Hon
Yun Tujhy Chahei''n Tanha ...
Hum to tanhayon se tang akar dost banane nikle the FARAZ…

Dost bhi aise mile k aur tanha kargay
Aaj bhe waisa hi mousam hai

aaj bhe waisy he badal hain

aaj bhe waisi hi barish hai

jub hum pehli baar milay thy

yaad hai,humne ye socha tha

humko milty dekh kr mousam

itna khush hai,itna khush k

es ki aankhain bheeg gae hain

magr aaj ye jaan gaey hain

k

mousam us din keun roya tha....
Jo Poochta Hai Koi Surkh Kiun Hain Aj Ankhain
To Ankh Mal Ke Kheti Hon Ke Raat So Na Saki
Hazar Chahon Magar Yeh Na Khe Sakon Gi Kabhi Bhi
Ke Raat Ronay Ki Khuwhish Thi Magar Roo Na Saki
Raah-geero''n Se
Tasadum Ka Sabab
Banta Hy ...


Tujh Se Milney Ka
Achanak Hi Iraada
Hona ... :)