Zikar-e-Shab-e-Firaaq

Zikar-e-Shab-e-Firaaq
Zikar-e-Shab-e-Firaaq Say Wehshat Ussey Bhi Thi..!!
Meri Tarah Kisi Say Muhabat Ussey Bhi Thi...!!
  

May, 27 2010     100 chars (1 sms)     3309 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Unka Waada Hai Ki Vo Laut Aayenge ,
Esi Umeed Pe Hum Jiye Jayengey ,

Ye Intjaar Bhi Unhi Ki Tarah He ,
Kar Rahe They , Kar Rahe He Aur Kiye Jayenge
Meray Dil mein Hai kashmakash mujhe sochna mahaal Hai.




Tujhe ik haan se Guraiz Hai, meri zindagi ka sawal Hai.
Waqt nay saari kahani he badal daali
Pyar ka naam jo aata hai to dar lagta hai
Zakham kuch esay bhi apnon nay diay hain mujh ko
Ab koyi haath milaata hai to dar lagta hai!!!
diyar-e-dil ki raat mai chirag sa jhala gaya,
mila nahi tu kaya hua,wo shakal tu dekha gaya,
wo dosti tu kher naseeb-e-dushmana huee,
wo choti choti ranjishon ka lutaf b chala gaya
Kabhi es tarah meray ham nafs,
Sabhi chahtein meray naam kar,
Agar ho sakay tu kabhi kahein,
Meray naam bhi koi shaam kar,
Meray dil k saye main aa zara !
Meri dharknon main qayam kar,
Yeh jo meray lafzon k phool hain,
Teray raastay ki ye dhool hain,
Kabhi in say sun meri dastan,
Kabhi in k sath qalam kr.
use kaho ub nahi aya jaye ga teri shahr ki tarf..

qadmon k nishan na milne per rota raha hon main...
UDas Karna
UDas Hona

Na DOR Rehna!
Na Paas Hona,

Woh aahaton Ka sunai Dena

or Mujh Ko Tera Qayas Hona,

Acha Lagta hai
Tujh say MiLNA!

Mujh Ko Tera Libaas Hona

Main aankhon aankhon main sab Kahon ga..!

Kuch Tum bhi ishara shanaas Hona..!

Meri yadon say Batain Karna,

Jab kabhi Tum UDas Hona.
Samjha do apni yadon ko
wo bin bulaye pas aaya karti hain

aap to door reh kar satate ho magar
wo pas aakar aksar rulaya karti hain
Ye Ishq nahin aasan...

Masoom Mohabbat ka bas itna sa fasana hain

kagaz ki haveli hain baarish ka zamana hain


Kya shart e mohabbat hain kya shart e zamana hain

Awaaz bhi zakhmi hain aur geet bhi gana hain


Uss paar utarne ki umeed bhi kam hain

Kashti bhi purani hain aur tufaan ko bhi aana hain


Samjhe ya na samjhe woh andaaz mohabbat ke

Ek shakhs ko aankhon se ek sher sunana hain


Bholi si ada fir koi aaj ishq ki zid par hain

Phir aag ka dariya hain aur dhoob kar jaana hain.......;->
Woh insaan hi kya jo tere hotel ke harche utha na sakay......
mein chuka kar saare bill zinda rahoon khuda na kare...!!!
Chalo us Ka Nahi Khuda Ka Ehsaan Lete Hyn

Wo Minnat Se Nahi Mana Tou Mannat Maan Lete Hy
Khusi meri cheen lee usne,
Muskurane bhula diya..
Gam de diya mujhe,
Zindgi bhar rulane ke liye.