hijr mujhay raas

hijr mujhay raas
hijr mujhay raas ana hi tha,
kisi tarha sahi usay bhulana hi tha!
  

Jun, 05 2010     67 chars (1 sms)     2599 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hajoom Mein Tha Wo Na Ro Saka Hoga
Magar Yakeen Hai Shab Bher Na So Saka Hoga
Wo Shaks Jise Samjhne Mein Mujhe Umar Lagi
Bicher Ke Mujhse Kisi Ka Na Ho Saka Hoga
Mere WATAN ki mitti Nilaam hone lgi hy

BAGHAWAT is k Khilaaf Sar-e-Aam hone lgi hy

Bhej koi MUUSA Ae Mere RAB

k FIROUN ki FIROUNIAT Aam hone lgi hy
dilon se khelne ka hunar humain ata nahi isi liay ishq ki bazi hum har gaye meri zindgi se shayad unhain bahut payar tha isi liay muje zinda hi maar gaye .
woh mujhsay besabab uljha nahi tha,
woh pehlay tu kabhi asa nahi tha,

buhat ala tha uska zarf laykin,
woh meri zaat ko samjha nahi tha,

woh jaisay berukhi say chal dya tha,
main itna bhi gaya guzra nahi tha,

usay main kyun bura theraoon yaroo?
woh acha tha....faqat mera nahi thaa!
Pyar nhi likha tha kismat me
to usne pyar kyu karwa diya.
Shayad tadpte hue dekhna chahte the wo kisi ko,
jiske liye usne hume mohra bana diya.
Wo shakhs meri jaan bana rehta hai.

Uska payar meri pehchaan bana rehta hai.

Koi muntzir hai uska kitni shiddat se,

Wo janta hai magar anjaan bana rehta hai.
Mujhe Udas
Daikh Kar
Us Ne Kaha
Mere H0te H0we
Tumhen K0i Dukh Nahi Day Sakta
Phir Aisa Hi H0wa
Baad Me Jitne Dukh Miley Sab Usi K Thay...
Koi Mujhko Aesi Daleel De
K mein Toot ker Tere Naqsh
Aankh Ki putlion Se Milta Sakon
K MeiN Dil Se Umer Bher Ki
Rafaqaton Ko Bhula Sakon
Koi Mujhko Aesi Daleel De
K Mein Umer Bher Teri Yaad Ka
Koi jasan Hee Na Mana Sakon
Agar Koi Aesi Sabeel ho To Azma
Jo Nahi To Phir
Mujhe Yaad Ker MUjhe Yaad Aa
Ghazal son kar pareshan ho gaye kya
Kisi ke dehan main tum bhi kho gay kya
Yeh beygangi pehlay tu na thee
Kaho tum bhi kisi ke hogay kya
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
shahr k sabhi logon ne thaam lye hain apne apne dil.

wo phr se aa rahy hain aik shakhs ka intakhab krne.
Meri Ankhon pe marta hai
meri baaton par hansta hai
najane shaks hai kaisa?
mujhe khone se darta hai
woh jab bhi baat karta hai
yahi har baar kehta hai
Agar main bhool jaoon to?
Agar main rooth jaoon to?
Kabhi wapis na aaoon to?
bhula paoge yeh sab kuch..
yunhi hanste rahoge kia?
Yunhi sajte rahoge kia?
Yahi baatain hain bas uski
yahi yaadian hain bas uski
mujhe maloom hai itna
Mujhe woh pyar karta hai
MUJHE KHONE SE DARTA HAI...