AYE KaAsH!

AYE KaAsH!
AYE KaAsH!

Aye Kaash!
Woh Din Kabhi Aya Na Hota
Tu Mujh Se Juda Na Hota
Aye Kaash!
Jis Ne Mujhe Tanha Kya
Woh Mera Apna Na Hota!
Aye Kaash!
Sheeshe Ki Tarah Tootne Wala
Mera Spna Na Hota!
Aye Kaash!
Yeh Kaash Na Hota
  

Jun, 03 2010     230 chars (2 sms)     2442 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apni Roshni Ki bulandiyo''n Per Kabhi na Itrana

Chiraag Sab k Bujhte Hain Hawa Kisi Ki Nahi ...
In ungaliyoun Ka Lams tha Aur meri zulf the

Gaisoo Bikhar rahey they to kismat sanwar Gayi. . . . . . !
Meray sabar ka na lay imtehan
Meri khamshi ko sada na dey
Tu aziz dil-o-nazar say hai
Tu kareeb rag-o-jaan say hai
Meray jism-o-jaan ka yeh faisla
Kahin waqt or barha na de
Tujhe bhol k b na bhula sakon
Tujhe chah k b na pa sakun
Wo Tarap jo shola-e-jaan mein thi
Meray tan badan say lipat gae
Jo bujha sakey tu bhuja ise
Na bhujha sake tu hawa na dey
Agar milay kabhi fursatein
Meri tanhai sanwar dey
Yun judaiouy ki saza na dey
Apni zat k mehwar mein tujhay gum kar loon
Ebadaton mein tera ishq raqam kar loon
Teray aanson say gar mumkin na ho wazu
Teray jism ki matti say tayamum kar loon
Woh din baray ajeeb thay,
jub tum mere qareeb thay,
ek din hogayi judaayi,
woh din mere naseeb thay.
zikar bewafaon ka raat tha sare mahfil.
jhuk gaya humra sir jub tumhra naam aya.
HUM HEE WAFA NIBHA NA SAKAY
TUJHE CHAHA MAGAR BATA NA SAKAY
TERI JUDAII MAIN SUBAH SHAAM ROYEE BOHAT
HAAN MAGAR TERE SAMNE ANSU BAHA NA SAKAY
tre bina zindagi se koi shikwa nahi..

tere bina bhi lykn zindagi,zindagi nahi.
Rat gehri hai dar bhi saktey hain
hum jo kehtey hain kar bhi saktey hain
aap jo roothey to itna bhi na soocha
hum to pagal hain mar bhi saktey hain
Koi Tum Se Pooche Kon Hoon Main
Tum Keh Dena “Koi Khaas Nahi “
Ek Dost Kacha Pakka Sa
Ek Jhoot Hai Aadha Sacha Sa
Jazbaat Ko Dhanpey Ek Parda
Bas Ek Bahana Acha Sa
Jeevan Ka Aisa Saathi Hai
Jo Duur Na Ho K Paas Nahi
Koi Tum Se Pooche Kon Hoon Main
Tum Keh Dena "Koi Khaas Na
Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey
MERI TAAMEER KE KISSE KAHIN LIKHE NA JAYEINGE,
MAIN JANGAL SE GHUZARNE KE LIYE RASTA BANATA HOON,
BICHAD KAR BHI JUDE RAHNE KA YE ACHCHA TREEQA HAI,
WO EK GUDDA BANATI HAI MAIN EK GUDIYA BANATA HOON,
AGAR ACHCHA SA KOI NAAM SOCHO TO BATA DENA,
MAIN APNE KHUWAAB KI KATRAN SE EK CHEHRA BANATA HOON