Jo Udas Hain Tere Hijar Mein
Jinhe Bojh Lagti Hai Zindagi
Sar-E-Bazam Youn Inhe Dekh K
Tera Munh Chupane Ka Sukria
Jo Zamane Bher Ka Asool Tha
Wo Asool Tu Ne Nibha Dia
Yehi Rasm Thehray Gi Moutbar
Tera Bhool Jaane Ka Sukria
Na main pass us ko bola saka.
Na main dil ki baat bata saka.
Wo hansi hansi main hi chal dia.
Main hath tak na hila saka.
Kahan jao gay mujay choor kar.
Main yah poch poch kar thak gaya.
Wo jawab muj ko na dai saka.
Wo tou khud sarapa sawal tha.
Wo mila tou sadion k baad b.
Meray lab pay koi gila na tha.
Usay meri chup nay rola dia.
Jisay guftago main kamal tha..
Jissay Tum Zindagii Jano
Tumhain WO Rog Kahta Ho
Kay Jis Nay Khud Hi Chahat Say Tumhara Haath Thama Ho
Wo Apnay Dil Kay Darwaze
Tum Hi Per Band Kar Day To Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Tumhain Sangsar Kar Nay KO Jo Sang Bantay Loogon Mein
Saba KO Roknay KO Qafal Dalay Dareechon Mein
Kar Kay Band Ghar Kay
Saans Per Pehray Lagay To…
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Ye Kis Nay Kah Diya Tum Say
Mohabbat Mar Nahi Sakti
Kay Jab Koi Tumhain Jaan Say Guzar Janay KO Kahta Ho
Aadhi Raah Mein Khud Hi Mur Janay KO Kahta Ho
Wo Apni Bewafai Ka Khud Hi Aitraf Kar Lay To…
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Al-Wida..
Hamain jab Al-wida kehnay lago tow muskra daina..
Sitara sath ker daina..
K rastay mein andhairay bhi tow aein gay..
Kisi harf-e-Dua ka istaara sath ker daina..
Hamain zaad-e-safar ko tumhari yaad ki sogaat kafi hai..
Tumharay sath mein guzra howa pal bhi ghaanimat hai..
kabhi tehray jo rastay mein..
Sunehari yaad ki surat tumhain ham-rah paein gay..
Tow ham tanha kahan hoon gay..
Magar phir bhi..
Hamain jab al-wida kehnay lago tow muskura daina..
Sitara sath ker daina..
Kisi harf-e-Dua ka istaara sath ker daina.. !!