Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi,
Gaye dinon main bohat ba kamal thay hum bhi,
Hamari khoj main rehti thein titlyan aksar,
K apnay shehr ka husn-o-jamal thay hum bhi,
Zameen ki goad main sir rekh k so gaey aakhir,
Tumharay hijr main kitnay nidhal thay hum bhi,
Zaroration ne hamara zamer chaat liya,
Wagarna qaa’el-e-rizq-a-halal thay hum bhi,
Hum ask ask bikhartay rahay isi dhun main,
K zindagi main kabhi laazwal thay hum bhi!
kuch is tarhan se wafa ki misaal deta hon.....
sawal karta hai koi tu taal deta hon
usi se kehta hun akser fareeb manzil ka....
main jis k paaon k kantay nikal deta hon
Aye Kaash!
Woh Din Kabhi Aya Na Hota
Tu Mujh Se Juda Na Hota
Aye Kaash!
Jis Ne Mujhe Tanha Kya
Woh Mera Apna Na Hota!
Aye Kaash!
Sheeshe Ki Tarah Tootne Wala
Mera Spna Na Hota!
Aye Kaash!
Yeh Kaash Na Hota