Hum Har Roz Udas Hote Hain,

Hum Har Roz Udas Hote Hain,
Hum Har Roz Udas Hote Hain,
Aur Shaam Guzar Jaati Hai,
Kisi Roz Shaam Udaas Hogi,
Aur Hum Guzar Jaayenge....
  

Jun, 02 2010     112 chars (1 sms)     6381 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

humsafar Chahiye Hajoom Nahin,
ek Musafir Bhi Qafla Hai Mujhe,

Tou Muhabbat Se Koi Chaal To Chall,
Haar Janay Ka Hosla Hai Mujh Mein.
Sukun-e-Qurb Me Utro
Tou Yaad Kr Lena

Kbhi Jo Tuut k Bikhro
Tou Yaad Kr Lena

Khushi k Waqt Me Chahe
Hume''n Bhula Dena

Ghamon ki Rah Jo Dkho
Tou Yaad Kr Lena
na kar inkaar a zalim mere pass ane se ..
khuda bhi roth jata hay kisi ka dil dukhane se
yeh milna aur bicharr jaana
kab apne bas ki baat hai
kismat hi milati hai hum ko
kismat hi juddai deti hai
har baar yeh hi hota hai
koi hume bataye to sahi
ki aakhir kyu jo hum tum se nahi keh paate hai
wo dharkan se sunayi deta hai.
rait k gahronde bana kar thori dair k laye spane sjate thy bachpan main..

phir unhain rait k gahrondon ko tord dena gahr wapias jate howe..
aaj phir un kaa saamanaa hogaa
kyaa pataa us ke baad kyaa hogaa
aasamaa.N ro rahaa hai do din se
aap ne kuchh kahaa sunaa hogaa
do qadam par sahii teraa kuuchaa
ye bhii sadiyo.n kaa faasalaa hogaa
ghar jalataa hai raushanii ke liye
ko_ii mujhasaa bhii dil jalaa hogaa
Chahton k mosam mein,
Zakhm jo b lag jaen,
Umer bhar nahi siltay,
Tum nay sun liya ho ga,
Shehar ki hawaon say,
Wo jo ik dewana sa,
Atay jatay rahi ko,
Raston mein milta tha,
Ab kahin nahi milta...
Wo Kia Gaya k
Raunaq-e-Dar-o-Deewar
Gaye Mohsin

Ek Shaks Le Gaya
Meri Dunya Samait Ker
Wohi muntazir negahain
wohi sham-e-gham ka manzar...
main azal sy dhoond raha hun
teri wapsi ki rahain...
Wada kar ke jo mukar jate hain
Woh log sab se jyada kareeb hote hain
Waqt to chalta hai chal ke badalta hai
Par ye log waqt se pehle hi badal jate hain..
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay main magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Un he lafzoan k aasq bunty hien
Jo zuban say ada nahe hoty