Dekho ik aur kissa aam

Dekho ik aur kissa aam
Dekho ik aur kissa aam ho gaya,
Ik naam rakhney wala benaam ho gaya,



Har aan hai wo ghamoon ki daldal mein,
Mohabat ka ik aur burra anjaam ho gaya
  

Jun, 02 2010     156 chars (1 sms)     2089 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ye dil bholaata nahi hay muhabatin uski
Pari hoi thee mujhay kitni aadatain uski
Ye mera sara safar uski khoshboo main kataa
Mujhay to rah dekhati thee chahatain uski
Kaun rakhta hai yaad naamo ko,

Log chehere ko bhool jatey hain,

Tum samundr ki baat krtay ho,

Log AANKHON mein doob jatey hain.....
Saans jab tak hai mera dil main,
Tumhara intezar kar lungi,
Tum khush raho is duniya mein,
Mein gum se bhi pyaar kar loongi
roth gaya hai mujhko manane wala.
ab koi nahi naaz mere uthane wala.
per jaane kiya sochta hai ye khulla darwaza.
shayad rasta bhool gaya aane wala.

purane samaan ke saath
phir nikal ke samne aa gai hai..

peele safe
miti hui syahii
par jo likha hai ..
vo dil pe bhi naqsh hai ..
har baar ise door karne ki chaah me
kabhi machan pe uchal diya
kabhi purane samaan me phaink diya
khirki se bahar phainkne me
haath saath nahi dete..

barhaa ghar me chupane ki, dafn karne ki koshish
aur utni hi shadeed koshish
is dairy ki mere saamne aane kii
ye lukachipi kai salon se jari hai
main chup rahi hun
aur mujhe dhoond rahi hai
Meri Dairy .....!!!
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne dost ko bhula deta hai.
Aansuo mein raatbhar rona para

Tere milan se to haath dhona para

Tera milna tha khwaab mera

Khwaab laane ke liye sona para
main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay
suljha hua sa shaks kahtay hai mujh ko log..... uljha hua sa mujh mai koi dosra bhi hai .....
tumhen bhulana he awwal to dastras main nahi,

ko ikhtiar bhi hota to kya bhula daity
Main Usay Dill Say Piyar Karti Hoon Rang Jis Ka Hina Say Milta Hai.
Rangat Main Dilfarareb Hum Bhi Nahin LAKIN Saanwali Si Is Jori Say Zamana Jalta Hai.