main tu jala na saka en

main tu jala na saka en
main tu jala na saka en tohfon ko tumhe bahj raha hun..

tum jala sakte ho en ko kayonk tum tu pathar dil ho..
  

May, 28 2010     113 chars (1 sms)     2726 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jab ye mehsos hota hai k koi hai
jo meri rooh ki khamoshiyon ko apne alfaz deta hai
mere aansuon ko naam deta hai
jab bhi main muskuraoon to wo apni jaan deta hai
Hum To Kitno Ko Mehjabeen Kehtay
Aap Hain Is Liye Nahin Kehtay
Chaand Hota Na Aasman Pay Agar
Hum kisay Aap Sa Haseen Kehtay
Aap nay Auron Say Kaha Sub Kuch
Hum Say Kuch To Kabhi Nahin Kehtay
Raat Dekha Tha Jate Jate Unhain
Chaand Ko Apna Janashin Kehtay
Agar Zindagi mein judai na hoti,
Toh kabhi kisi ki yaad aati na hoti,
Sath gujara hota har lamha,
Toh shayad rishto mein itni gehrai na hoti.
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga
Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey
Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi
Osay kabhi na kabhi to bicher hi jana tha
Ye haadsa bhi meri zindagi main aana tha
Wo aik shaks mujhey sari umer tarsay ga
Naseeb us k......k us ne mujhy gawana tha
Suno! ab bnd mutthi men andheron ki hakomt hy...

mujhy jugno hatheli me chhupa leny ki adat thi...!!
Baroz-e-Hashar me
be-khof
ghuss jaon ga JANNAT mein,

Wahin sy aaey thy "AADAM" wo mery baap ka ghar hy.

(ALLAMA IQBAL)
Jane Se Pehle

Us Ne Mere Aanchal Se Fiqra Bandh Diya

I" MISS YOU

Sara Safar

Khushboo Main Basa Raha
Bana ajnabi mera Humsafar....
Aur nazar bacha k guzar geya.
Main tha raston se bekhabar....
Aur Usey manzilon ka shaoor tha.....
Na theen aur koi b Ranjishain......
Sirf adaton mein tazaad tha.....
K Usey pasand theen shokhyan aur Mujhey sadgi pe ghuroor tha...
mojein tarap rhe hein osi gham mein aj bhi...

kis ko babo diya hai kinaro jawab do...
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !

Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon
meri Deewangi par is Cadar hairaan Hotay ho..!!






mera Nuqsaan To Dekho; "Mohabbat Gumshuda Meri"..!!