theen tou zaroor manzilain

theen tou zaroor manzilain
theen tou zaroor manzilain us se paray bhi kuch

lakin teray khayal se agay nahi gaye
  

May, 27 2010     88 chars (1 sms)     2124 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Samnay na hoon to trasti hain ankaen,

yaad mai tairi barasti hain ankaen,

mairay liye na sahi in k liye aa jaya kro,

tuj sy baipna muhabt krti hain ankaen,
Ehsas bhoat hoga jb hum chale jain gey
Jb rona chaho gey to anso nae aingey.
Jb sath na de koi to awaz hamey dena.
Asman per be hongey to laut aingey.
Khud say ruthoon to kayee roz na khud say boloon
Phir kisi dard ki deewar say lag kar ro loon

Tu samander hai to phir apni sakhawat bhi dikha
Kya zaroori hai k main pyaas ka daaman kholoon

Main k ek sabr ka sehraa nazar ata hoon tujhay
Tu jo chahay to teray wastay darya ro loon

Aur meyaar rafaqat k hain aisa bhi nahin
Jo mohabbat say milay saath isi k ho loon

Khud ko umron say muqfal kiye betha hoon faraz
Who kabhi aye to khalwat-kada e jaan kholoon
zuban kahti hai sara qasoor uska tha...

zameer kahta hai kuch zemadaar main bhi hon..
hum ko maloom hai tu nafrat nahi hai sitron se.

per yeh maloom nhai un k tootne ki dua kauon krti ho.
Usey Sher sunney ka Shoq tha, Hamen Sher Kehney ka Zouq Tha ...

Isi Zouq-o-Shoq ne Ek Din, Usey Dil ka Haal Suna diya .
Tere judaai ka dard kya hota hai, agar jaante hum,
Tujhse judaa hone se pehle, apne dhadkan ko khud se juda karte hum.
Mohabbat Ki Haseen Rahon Mein Aksar Mene Dekha Hai

Jo Sathi Sath Chalte They, Bichhartey Maine Dekha Hai,

Sajaatey They Barey Hi Shoq Se Khayalon Ki Haseen Duniya,

Bohat Choti Si Baaton Pe Ujartey Maine Dekha Hai,

Jo Kehte Thaay K Ik Pal Bin Tere Hum Reh Na Payenge,

Saamna Ab Ho To Chup Chap Guzartey Maine Dekha Hai,

Jo Kehte Thaay Tera Rishta Zamane Bhar Se Afzal Hai

Unhi Rishton Ko Pal Bhar Mein Bikhartey Maine Dekha Hai.
Apne asool yun b kbhi torne pare,
uski khata thi hath mjhe jorne pare...

Aya na jb qarar dil-e-beqara ko,
tu yadoon k rukh mjhe tmhari taraf morne pare...

Unko tu meri yad b na i bhool kr,
apne parae jn k liay chorne pare...

Wo shakhs bara ba-asool tha,
apne asool jis k liay mjhe torne pare.......
woh sari baatain yaad aati hain us ko

woh subhain,
woh shaamain

wohi zindagi ki musafatain

jinhain gin gin kay guzara kartay thay..

phir jub

haqeeqaton main wapis lout''ta he

toh

muskura daita he,.

aur

sar jhatak kay kehta he..

pagli!!!
tumhare bus main ager ho, to bhool jao hamain
tumhain bhulane main shayad,hamain zamana lage
Dil toorna humari aadat nahi,dil hum kissi ka dukhate nahi,bharosa rakhna meri wafaon pe, dilm mein basa kar hum kissi ko bhulate nahi..,