Aye Na agar Tumhe Yaad

Aye Na agar Tumhe Yaad
Aye Na agar Tumhe Yaad Hamari,

Hum Karenge Fariyad Tumhari.

Bewafa ho tum ye Na Kahenge Kisi se,

Kahenge Ki Shayad Kami Thi Wafa Me Hamari.
  

Jun, 07 2010     149 chars (1 sms)     2842 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho
Ajnabee, Kaise Ajnabee Tum Ho?
Main Zameen Par Ghana Andhera Hoon
Aasmaanon Ki Chaandini Tum Ho
Ab Koi Aarzoo Nahin Baakee
Joostjoo Meree Aakhree Tum Ho
Doston-Se Wafa Ki Ummeeden!
Kis Zamaane Ke Aadmee Tum Ho?
Yad ha tum ne
muje kaha tha

agar kabhi ham
bichhar gaey to
dil mein pyaar ke jugnoo bhar ke
kuch pall muj ko dhondtey rehna
dekhna main phir laut aaon gi
lekin..
teri yaad mein ab tak
main aur jugnoo bhattak rahey han
Pyar nhi likha tha kismat me
to usne pyar kyu karwa diya.
Shayad tadpte hue dekhna chahte the wo kisi ko,
jiske liye usne hume mohra bana diya.
Kuch is tarah se torey han milny k silsily.

Sub naqsh apni yad k mita k chala gya.

Ma dhundta raha jisy milny k wasty

Wo shakhs mery shehr ma aa kr chala gya
hum kisiki mohabbat
ka jawab kya de,khamosh
labo ko awaz kya de,
khud mitt chuke he kisi
ki mohabbat me,
kisiko pyar ki saugat kya
de...
kab unki palkon se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein hamare liye pyaar hoga,
guzar gai raat unki yaad mein,
yeah sochkar ki suhab toh unko bhi hamara intzaar hoga.
Khuda Kare Ki Pyar Me Kisi Ka Dil Na Toote
Jaise Rutha Mera Sanam Kisi Aur Ka Na Ruthe
Rota Hai Dil Aur Toot Jate Hain Sapne
Ankhon Ke Aansoo Bhi Nahin Hote Hain Apne
Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka,

Shayad nazar se woh baat ho jaye.

Is umeed mein karte hain intezaar raat ka,

ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye.
Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya
Apni Zindagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya

Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di Hum Ne
Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya

Kaanton Se Bhar Dete Hain Log Daaman
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya

Kabhi Na Maangen Ga Kisi Se Bheek Mohabbat Ki
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya
Wo Uktaya Sa Rehta
Hy Humari Wafao''n
Se ...


Usay Keh Dena Humei''n
Dikhawey Ki Mohabbat
Achi Nahi Lagti
Dil Ki Khamoshi Se
Saanso''n k Theher
Jane Tk

Yaad Aayega Mujhy
Wo Shaks Marr Jane
Tk

Us Ne Ulfat k b
Paimaany Bna Rakhy
Thay

Me Ne Chaha Tha
Usay Hadh Sy Guzar Jane
Tak ...
mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!