KABHI SHABNAM TO KABHI

KABHI SHABNAM TO KABHI
KABHI SHABNAM TO KABHI SHABAB LAGTI HAI
TERI HANSI EK KHILTA GULAB LAGTI HAI
MAI PIYUN YA NA SAHI
LADKHADA KAR CHALTA HOON
KYONKI TERI GALI KI HAWA BHI
AB SHARAB LAGTI HAI................
  

Jun, 07 2010     193 chars (2 sms)     3094 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sawab Samajh Kar Wo Dil K Tukray Karta Hai...




Gunnah Samajh Kar Hum Un Se Gila Nahi Karty... /
Merey Humsafar Ka Yeh Hukum Tha
Keh Kalaam Us Se Main Kam Karon

Merey Hoont Aisey Siley kEh Phir ..
Meri Chup Ne Uss Ko Rulaa Diyaa !!
Tu Meriz Zindagi Hai Yeh SAch Hai.....
Zindagi Ka Magar Bharosa Kya...????
Mujh Par Hansti Hay.....!!


Qismatt Saath Nahi Deti....!!

.....
....
...
..
.
Teray Jaisi Hay...!!
Kanch Ka Tohfa Na Dena Kabhi,

Ruth K Log Tod Dia Krte Hai,

Jo Bahut Ache Ho Unse Pyar Mat Krna,

Aksar Ache Log Hi Dil Tod Dia Krte Hai.
Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !
Qasid paygham-e-shoq ko itna na kar taweel
Bas itna keh dena k aankhein taras gai hein.
Ghar k dareechay se lagh ker tujh ko sonchtey rahey,
Baadlon ki gargarahat mein tujh ko khoojhtey rahey..


Dhoondhney ka silsila saari raat chalta raha,
Kabhi jaaghtey rahey, kabhi tujh ko sonchtey rahey..


Barish ki ek boondh pari jo mere chehrey per,
Is nanhi si boondh mein tujh ko dhoondhtey rahey..


Yeh mausam bhi apne sath laata hai ek daastan,
Is daastaan ko sun ker tujh ko sonchtey rahey..


Apni sonch ko itna waseeh ker dia hum ney,
Keh samne sab kuch hai, phir bhi tujh ko sonchtey rahey...
Pyaar hai tera phulo ki khushbu
In khushbu me kahi madhosh ho na jau.…
Agar madhosh ho jau to in me kho na jau..…

Pyaar hai tera sagar ka darya
Is darya me kahi dub na jau.
Agar dub jau to in me kho na jau..…
Pyaar hai tera barish ki bunde
In bundo me kahi bhig na jau.
Agar bhig jau to in me kho na jau..…
Pyaar hai tera un pahade se bada
In pahado me kahi dur tak chadh na jau.
Agar chadh jau to in me kho na jau..

Pyaar hai tera us aasman ki tarah vishal
Is aasman me kahi yaha waha chali na jau.
Agar chali jau to in me kahi kho na jau..

Pyaar hai tera mere dil ka aaina
Is aaine me dekhne chali na jau.
Agar dekhne chali bhi jau to in me kahi kho na jau..
laut aati hai meri shab ki ebadat khali''mohsin"

janay kis arsh par rehta hai khuda sham k baad..
kaise ho tum jo chodkar ja rahe ho,
aapne sab kasmey wadey todkar ja rahe ho,
teri dosti pe bahot yakin tha humko,
phir kis liye tum muh modkar ja rahe ho...
Na Maango Har Baat Per
Wazahatei''n Ae Dil-e-Nadan


Mohabbato''n Mein Kuch
Sawalo''n k Jawab Nahi Hoty