Ankhon Mein Namee

Ankhon Mein Namee
Ankhon Mein Namee, Hansi Labon Par
Kya Haal Hai, Kya Dikhaa Rahay Hoo
Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
Yeh Asshq Joo Peete Ja Rah
  

Jun, 03 2010     130 chars (1 sms)     2321 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Buhat hi Muddat kai baad kul jub
kitaab-e-maazi ko main nai khola

buhat sai chehrey nazar main utray
buhat sai naamoan pai dil paseeja

ik aisa safa bhi usmain aaya
likha hoa tu jo aansoan sai

kai jis ka unwaan HUMSAFAR tha
jo safa sub sai hi moatabar tha

kuch aur aansu phir us per tupkai
phir us sai aagay main phar na paaya

kitaab-e-maazi ko bund karkai
tumhari yaadoan main kho giya main

Agar Tu Milta Tu kaisa Hota
Inhi Khyaloan main so gya…
Dhoonda karogay Ek Roz Mere Khaloos ko Aey Dost....



So Jaonga Kisi Roz Main Zameen Oorh Kar.
JO naseeb tha wo mil gaya jo qareeb tha wo mia nahi

Jo chak tha wo sil gaya jo dagh tha wo dhula nahi

Wo mera hamsafar hi tha wo mera hamnasheen na tha

Wo sath mere chala to tha wo pas mere ruka nahi !
Kehtey Hain
Toot-ta Taara Daikh Kar
Jo Dua Maango
Woh QabooL Hoti Hai
Suno!!
Mainey Bhi Tumhein Maang Liya Hai...!
Kisi lamhe kuch jo sochoge

Tumhain hum yaad aayenge

Kabhi yun hi akele main

beet-e- dino ko soch ker

Koi geet jo gungunaoge

Tumhain hum yaad aayenge

Sab doston ki mehfil main

Kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge

Tumhain hum yaad aayenge

Zindagi ke kisi morr per

Apne Dil ki baat ko

Kisi se keh na paoge

Tumhain hum yaad aayenge
wo kehti hAy... TumhArAy sArAy khAwAb Q AdhorAy Hain


Main kehtA hon k meri jaan tum inhAin takmeel dAy Do.
yeh zameen ki fitrat hai k her cheez kojazab kr lyti hai.

warna tere ishq main mere ansoun ka alag sumandar hota....!!
Mana k bura hun mgr itna bi ni hun

Kuch nazron se gira hun mgr itna bi ni hun
Sakoon tha jab tak tumhare pas rahe,
phir uske baad jahan bhi rahi udaas rahe.
Tammam raat intzaar me guzri,
tamam raat taroon ke sath rahe.
Ikr-E-Shab-E-Firaaq Se Vahshat Usay Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Se Muhabbat Usay Bhi Thi
Mujh Ko Bhi Shauq Thaa Naye Chehroon Ki Deed Kaa
Rastaa Badal Ke Chalnay Ki Aadat Usay Bhi Thi
Mujh Se Bichhar Ke Shahar Mein Ghul Mil Gayaa Vo Shakhs
Haalaanke Shahar Bhar Se Raqabat Usay Bhi Thi
Vo Mujh Se Barh Ke Zabt Kaa Aadi Thaa Ji Gayaa
Varnaa Har Ek Saans Qayaamat Usay Bhi Thi
Tumharay dam se thay sab rang o noor sab kaif o suroor
Tumharay baad tu sooraj ne aag bersaii
Kia khabar kon si zanjeer teray pairon main thi
Jo nibhaye nag aye piyar k waday tujh se
Wo jis ne khuaab bichaye thay teray rastay main
Wo shaksh ab bhi teri rah guzar main betha hai
Ja mujh ko agar chodd k jana hai zaroori
Haathoon main teray haath hain zanjeer nhin hai
December Ki Udass rutt
lout ayi hay nami ankhon mein liye
aur keh rahi hay mujhe
k tere waste ab ki baar bhi
mere daman mein sirf tanhayi hay!!!