aa bhii jaao kii zindagii

aa bhii jaao kii zindagii
aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii ''Yamini'' kam hai
  

Jun, 04 2010     365 chars (3 sms)     2132 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tadapte Dilke liye Kuch Qarar le aaye,

Kahin se Pyaar ki Khushboo Udhar le aaye…
Ajeeb shaks Tha woh jisne mujhe Tabah kiya





khilaf Uske Hosaka ye Dil Ab Bhi Nahi
Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui,
Chahat ka koi afsana na bana,
Aaj phir chali gayi zindagi nazron ke saamne se,
Aur usse baat karne ka koi bahana na bana.
Dil ki dhadkan se ehsaas tumhara hota hai
Thame koi hath to wo hath tumhara hota hai
chalti hai hawayein to wo pyar tumhara hota hai
meri jaan meri har baat me ab sirf zikar tumhara hota hai
Zehan ko afkar ankhon ko pani daay giya
Jatay jatay wo mujay unmit nishani day giya
Lambe safar mein
Aashiyana ho tum,
Akele raaston ka
Yaraana ho tum,
Sochte hain Tum bin
Zindagi kaisi hoti,
Kyunki hamari har
Khushi ka Bahana ho TUM...
Kabhi tum milnay aao na
Tumhein mehsoos karna hai
Tumhein bahon mein bharna hai
Tumhari zaat mein kho kar
Tumhara hissa banana hai
Mujhe weeran ankhon mein
Tumhari bikhari baton mein
Wafa ka rung bharna hai
Tumharay phool chehray par
Udasi ka jo manzar hai
Yahan pay apni chahat say
Hansi ko naqsh karna hai
Tumheray sath mil k
Zindagi ki jung larna hai
Kabhi tum milnay aao na
Tumhein mehsoos karna hai
Abhi SoYa hY zamane ki Thokrain seh k,

Laga0 Hath Na K Abhi kafan Taaza Taza hY,

DUA karo k EsaY Qabr Raas Aa jaYe,

Boht SatAYa hY Kambakht DOSTO Ny EsaY.
Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Phoolon Kee Pankhuriyon Mien Sahejay Huye Kucch Lamhaat
Uss Aksmaat Mulaaqaat Kee Goonjtee Huyee Dharkhan
Ek Ghazal Mien Gholee Huee, Kisikay Lafzon Kee Misree
Zehen Mien, Be-Khauf Failtaa Hua Ek Tassavvur Ka Jaadoo
Waqt Kee Aankhon Say Giree Huyee Ek Ashq Kee Boond
Shabnam Say Churayee Huyee, Thorhee See Numee
Ek Ajnabee Say Milee, Be-Takalluf Hansee
Unkee Jhalak Ka Muskurata Hua Khumaar
Ek Chashm Mien Tairtee Huyee Jheel Kee Gehraayee
Zehan Kay Aangan Mien Kheltay Huey Khayaalon Kay Kehkahay
Ek Manzil Pay Baithay Huey Intezaar Kee Kashish
Yeh mere aansu jinhe koi pochne wala bhi nahi
- Koi aanchal enhe milta to sitare hote.
Wo jazbey mere kuchaal gia hey
Jafaa k sanchey mai dhal gia hey
Na badley mousam bhi itna jaldi
Wo jitna jaldi badal gaya hey
mana ke khud marna haram hai danish,

magar uske baghair jeena bhi tu jaaiz nahi.