Tu mera naam na poocha

Tu mera naam na poocha
Tu mera naam na poocha kar,
main teri zaat ka hissa hun,
main teri rooh main shamil hun,
main teri neend ka qissa hun,
main tere khuwab ka hasil hun,
main teri yaad ka mehvar hun,
main teri saans ka jhonka hun,
tu manzar main pas-manzar hun,
main lamha hun,main jazba hun,
jazbay ka koi nam nahi,
tu mera naam na poocha kar!!
  

Jun, 07 2010     336 chars (3 sms)     2749 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kabhi socha hai?
hamary rishtey ka naam kia hai
mohabbat,zarorat, khawahish, jonoon,ishq
yaa
wo rishta jo
aasman ka zameen se hai
barsih ka sehra hai
haqeqat ka khawabon se hai
din ka raat se hai!
ye bhi kabhi aik doosry se mil nahi saktey
lekin aik doosry k baghair adhoory bhi hai
shayad aisa hi kuch rishta
mera aur tumhara bhi hai!!!
Dil Ki Awaaz Ko Izhaar Kehtay Hein
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehtay Hein

Sirf Paanay Ka Naam Mohabbat Nahin
Kuch Khone Ko Bhi Pyaar Kehtay Hein
kitabon se Daleel Doon ya Dil ko samney Rakhon




Wo mujh se Pooch Baithay Hain MohabAt kis ko Kehtay Hain
Tere Khayal Se jee churaon kaise
Ek aag dil main lagi he bhujaon kaise
Meri har sans tri yad se wabasta he
Phir tu hi bata tujhe bhool jaon kaise
rafta rafta bujh gya aakhir chragh-e-arzu,,,

pehlay dil khamosh tha ab zindagi khamosh hy,,,,
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh saal bhi udaas raha roothh ker gaya
Tum sey miley baghair december guzar gaya


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankho mein kyun aanso jalak jaate hai,
Tanhaiyo mein kyun gham yaad aate hai,
Aanso poch kar koi yeh bata de humein,
Aksar zindagi mein ghum barbar kyun ate hain...
hum ne kis pal nahi manga khuda se dua main tumhain..

tumhe sonpeny se pahle khuda ne azmya hai bhoot..
Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash,
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash,

Har Anjuman Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai,
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye,
Yehi Hai Sisakte Sunkate Marghaton Ki Kashmakash,

Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi,
Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki Kashmakash,

Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par,
Janta Hai Koi Kya, Jam Ghaton Ki Kashmakash...
WO CHup B Rehta Hai To Mujhko sunai Deta Hai
Her Ek Chehray Mein WO Chehra Dikhai Deta Hai
Mujhe B Ronaq-E-Dunya Pasand hai Lakin
Tera Khial Mujhe Kab Rehai Deta Hai
Hum uski khushi ki dua mangty rhy,

Bay had or bay pana mangty rhy,

Aj wo khush hy ksi or k sath,

ab smjh aya hum “KHUDA”se apny liye hi saza mangty rhy.
pholon k qabil nai shayad mera daman-e-atish.

ae sahib e gulshan isy kanton se hi bhar dy..