mujhay malom tha ye dost

mujhay malom tha ye dost
mujhay malom tha ye dost
k mujhay tum idhar bula kr yun
buhat ruswa hi karogay
aur hoa b kuch aisa hai
main yun chali to ai hoon
likin is bheer mai phir b ab
tanha buhat hoon ab tak mai
kahan hai yeh sab log
koi milta hi nai hai..!!
  

May, 27 2010     241 chars (2 sms)     4318 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

usey apney farda ki fikar thi,
wo jo mera waqif-e-haal tha

wohi us ki subhey urooj thi,
wohi mera waqte zawal tha

kahan jao gey mujhy chor k,
main ye pouch,pouch k thak gaya

wo jawab na mujh ko dey saka,
wo tou khoud sarapa-e-sawal tha

usey meri chup ney rula dia,
jise guftogu main kamal tha
Ugta Hua Suraj Dua De Aapko
Khilta Hua Phool Khushbu De Aapko
Hum To Kuch Dene Ke Kabil Nahi Hai
Dene Wala Hazaar Khushiyan De Aap
koi sham ati hai teri yad le kar

koi sham jati hai teri yad de kar

mujhe intizar hai us sham ka

jo aey tujhe sath le kar

Yaad Aati Hain Tumhari Sab Baate To Dil Ko Tham Leta hu,
Sab Kahte Hain Pagal Hain Tu Jab Hatho Me Jaam Leta Hu,
Ek Lamha Bhi Tumhari Yaad Dil Se Door Jaati Nahi,
Jitana Bhi Bhulne Ki Koshish Karta Hu Tumhe Bhul Paata Nahi.
itna pyar hai dil main mere
tum ho humsafer mere
chor na dena sanam mere
ghum bahot hai mere
berh gay tere any se sukh mere
saath rakhay humeay hamesha ye dua hai tujh se rab mere
Kaifiyat mere ishq mein itni hai,
Door jaa jaaker bhi tu laut ke ayegi..!!

Nahi mitega mera saya tere ankho se,
Har ashq mein tu apne mujhe hi payegi..!!
Ab To Kuch Na Hua Peeke Behek Jaane Se,
Baat Maikhane Ki Baher Gayi Maikhane Se,
Do Nigahoon Ka Jawani Mein Hai Aisa Milnaa
Jaise Deewane Ka Milnaa Kisi Deewane Se,
Dil Ki Ujdi Hui Halat Pe Na Jaaye Koi,
Saher Aabad Hue Hai Isi Veerane Se,
Daro Deewaro Pe Kabza Hai Udasi Ka Nazeer,
Ghar Mera Ghar Na Raha Unke Chale Jaane Se..
Kyu Hame Kisiki Talash Hoti Hai
Kyu Dil Ko Kisiki Aas Hoti Hai
Chand Ko Dekho Vo B Tanha Hai
Fir B Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai
Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.
dilon se khelne ka hunar humain ata nahi isi liay ishq ki bazi hum har gaye meri zindgi se shayad unhain bahut payar tha isi liay muje zinda hi maar gaye .
Faqt Pehluu Badalny Sy
Rafaqat Kam Nhi Hoti

Mgr Phir Bhi Na Milne Ki
Aziyat Kam Nho Hoti

Jahan Koi Bichar Jaye
Wahin Per Uski Manzil Hy

Kisi k Saath Chalny Sy
Musafat Kam Nhi Hoti

Humare Dushmano Me
Chahne Wale Bhi Shamil Hyn

So Hum Jis Haal Main Bhi Hon
Mohabbat KamNahi Hoti
Woh chand chup gaya mujhay rat sonp kar
Ankhon ko intezar k lamhat sonp kar
Ek shakhs tha jo mujh say bichar gaya
Ankhon ko meri mausam-e-barsat sonp ka