jin ki ankhon ka

jin ki ankhon ka
jin ki ankhon ka muqaddar nahi banti neendein,

un k sb khuwab adhuray hi hua karty hain.
  

May, 27 2010     92 chars (1 sms)     2181 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apni khushiyan luta kar tujh pe kurban ho jaon,

kash kuch din tery shehr main mehman ho jaon,

Tu apna nayab DIL mujh ko de day aur phir mangay,

Main mukar jaon aur bey-imaan ho jaon,

Tu mujh pe sitam karay har kisi ki tarha,

Main teri is ada par b meharban ho jaon,

Tu mery paon k nichay se zameen

kheench layaur main tera aasman ho jaon

Tu mujhse door door bhagti phiray,

Khuda koi mujzaa karey aur main tera NAAM ho jaon...
Unke chehre ko ankhn s hata sakte nhi
dil ki betabi ki surat dikha sakte nhi
kitni dilchasp hain Mohabbat ki majburiyan
samne manzil ha or kadm bada sakte nhi
Janay konse nagar ki cheriaya

Shaam mundayer pay aa bhati hai

Choonch may aik nazuk si daali

Us per aik sunehra phool

Jasay Ishq safar ki dhool
duniya sey mukhtalif hai mera andaaz-e-zindagi ghalib..

mein zakham khaata hoon to aur nikhar jaata hoon...
Wo Suraj Ki Tarah Aag Ugalte Rhe

Hum Musafir Safar Par Hi Chalte Rhe.

Woh Beete Waqt thay,Unhe Ana Na Tha

Hum Saari Raat karwate badalte rahe.
Bewaja Nahi Rota Ishq mein koi


"Jisay khud Se barh K CHaHO
Wo RULATA zaror hai...!
suljha hua sa shaks kahtay hai mujh ko log..... uljha hua sa mujh mai koi dosra bhi hai .....
Mohabbat Jeet Hoti Hai

Magar Ye Haar jati hai

Kabhi Dilsoz lamhon se

Kabhi Bekar Rasmon se

Kabhi Taqdeer Waalon se

Kabhi Majboor Qasmon se

Magar Ye Haar Jati hai

Kabhi ye Phool jesi Hai

Kabhi Ye Dhool Jesi Hai

Kabhi ye Chand Jesi hai

Kabhi ye Dhoop Jesi hai

Kabhi Masroor Kerti Hai

Kabhi Ye Rog Deti Hai

Kisi Chain Leti Hai

Kisi ko sukh deti Hai

Mohabbat Jeet Hoti Hai

Magar Ye Haar Jati HaI
kaise mien maan loon k koi mera nahi raha...

jab tak khuda ki zaat hai,tanha nahi hoon main.
Har lafz ko kagaz pe utara nahi jaata,
Har naam ko sare aam pukara nahi jaata,
Hoti he dosti me kuchh raaz ki baaten,
Yuhin to iss khel me dil haara nahi jaata!
Jane kis baat ki mujhko saja deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne Pyar ko bhula deta hai.
sahra ko apni weerani pe naaz bhut hai.
shahaid usne meri tanhai ko nahi dekha.