Wo Hum Ko Pathar or Khud Ko

Wo Hum Ko Pathar or Khud Ko

Wo Hum Ko Pathar or Khud Ko
Phool Keh Kar Muskaraya Karte Hai

Unhain Kya Pata Ki Patthar To Patthar Hi Rehte Hai

Phool Hi Murjaya Karte Hai
  

May, 29 2010     149 chars (1 sms)     2950 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

andhari rahoon k is safar mai
k jis k unwan hai zindagi
bohut se doshwar marhalain hain
Ghamoon k tareek silsilay han
Dukhoon se chalne har khoshi hai
bohut he mushkill hai humdam kuch aesay rastoon par tanha chalna
magar jo mujha ko cala rahi hai
tumhari yadoon ki roshni hai
ye kitaboon k Qissy,
Fasano ki baatain

nighaon ki jhilmil,
judai ki raatain

muhabat ki qasmain,
nibhaney k waday

ye dhoka wafa ka,
ye jhotey iradey

ye baatain kitabi,
ye nazmain purani

nahi in main haqiqt,
ye sab hain kahani

na likhna inhain tum,
na mehfoz karna

ye jazbay hain bas,
in ko mehsos karna
Ab Khwabo Main Rishte Banata Hun,

Tere Daman Ko Or Kareeb Pata Hun,

Raahein Ulfat Muskil Hai Magar,

Teri Yadon Se Apni Saanse Chalata Hun!
Kaise Batau Use,


Nahi Isme Koi Meri Khata,


Khel Hai Ye Sitaron Ka,


Ye Chand Tu Use Bata;


Bandish Hai Ye Fizao Ki,


Aa Maangle Khuda se Ek Umar Duao ki
mUjhey Har Kaam Sey Pehley
Sehar Sey Shaam Sey Pehley
Yahii Eik Kaam Karna hAi
tUmhara Naam Laina hAi
tUmhii Ko Yaad Karna hAi
K Jab Bhi dArd Peena hAi
K jAb Bhe Zakham SeeNa hAi
Gham e dUnya Sey Ghabra Kar
mUjhey jAb Jaam Laina hAi
tUmhara Naam Laina hAi
tUmhii Ko Yaad Karna hAi
tUmhari Yaad hAi Dil Mein
K Eik Syaad hAi Dil Mein
kOii BarBaad hAi Dil Mein
Usay Aabaad Karna hAi

tUmhii Ko Yaad Karna hAi
shikwah na kissi se milney ka kya karain hum
do harf lafz dill main hain woh be judha judha
Mohabbat Seekh Ker Kerna
K Bin Seekhe Mohabbat Ka Safar Dushwar Hota Hai

Girebaan Taar Hota Hai
Kabhi Inkar Hota Hai Kabhi Iqrar Hota Hai
Mohabbat Seekh Ker Kerna

K Bin Seekhe Mhabbat To Serabon Ki Kahani Hai
Dukhon Ke Raj-Dhani Hai

Jo Kal Ban Jaay Ga Baadal
Ye Dariya Ka Wo Pani Hai
Mohabbat Seekh Ker Kerna

K Bin Seekhe Mohabbat To Azab-A-Zindagi Thehri
Sharab-A-Zindgi Thehri
Na Ho Takmil Jis Ki Wo Kitab-A-Zindagi Thehri

Isi Khatir To Kahta Hoon
Kisi Ustad-A-Kamil Se
Mohabbat Seekh Ker Kerna
Is hawa me khushbu hai tumhari,
is chand ki roshni me surat hai tumhari.

Is dil sey jo mar kar b juda na ho sakay
woh sirf aur sirf dosti hai tumhari.
KHUDA kere Usey Zindagi Mein Sada Thokrain Naseeb Hon

Mere Haath Se Mere Hamsafer Tera Haath Jis Ne Chora Dia
Bohat “ROYA” kary ga Wo,

Hijar ki weeran Raaton mein,

~ ~

Hamari Qurbatoon k jab,

Saharay “CHOOT” jaen gey…

tanhayioon mein baith ker kia sochtay ho tum

kuch to hamain batao pareshaan hum bhi hai
Jub to khush ho to zeest ka
Her lamha muskarata hai
Mari maan kay aangan ka
Her phool khil sa jata hai