Koi Mila Hi Nahi Jis

Koi Mila Hi Nahi Jis
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete
Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete
Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna
Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete
  

Jun, 04 2010     158 chars (1 sms)     3701 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon
mein
koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota
Mil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai,
Baadal To Ghar Aaey thay Barsaat Reh Gai,

Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho,
Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai,

Mai Haar K Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gaey,
Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai,

Daaman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas,
Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Soughaat Reh Gai,

Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi,
DiL K Nagar Main Raat Thi So Raat reh Gai... )
Mere Etmaad Ki Is Se Barh Kar Aur Kia Daleel Hogi.



Jo Tumhari La-Taluki Ko Masroofait Sumjh Betha...
Mujhay sab kuch Qabool ha aye Falaq,
Gham-e-Yaar Mujhe Talab na kar,
Mein use kaisay dil se juda karon,
Jo meri Umer Bhar ki Talash ha,
Khuda Kare Ki Pyar Me Kisi Ka Dil Na Toote
Jaise Rutha Mera Sanam Kisi Aur Ka Na Ruthe
Rota Hai Dil Aur Toot Jate Hain Sapne
Ankhon Ke Aansoo Bhi Nahin Hote Hain Apne
jab kisi sey koi gilah rakhna
samney apney ik aiena rakhna

Yon ujalon sey wasta rakhna
Shama key paas hi hawa rakhna

Jab kisi sey Koi gilah rakhna

Ghar ki tameer chahey jaisey ho
Iss mai rooney ki kuch jaga rakhna

Masjidein hain namaziyon key lye
apney ghar mai kahin khuda rakhna

Milna julna jahan zaroori ho
Milney julney ka honsla rakhna

Samney apney ik aiena rakhna
Jab bhi kisi sey koi gilah rakhna
Dilon ko khareedney wale hazar mil jayege,
Aap ko dagha dene wale bar-bar mil jayege,
Milega na aapko hum jesa koi,
Milne ko to dost beshumar mil jayege.
KAHAN A DOST CHALTE JA RAHE HO
BAHOOT AAGE NIKELTE JA RAHE HO

CHALE JAOW MAGAR YEH TO BATAOW
YEH RESTE KION BADALTE JA RAHE HO.
Hazaaron Mashghaly Hain Jo Mujhy Masroof Rakhty Hain....

Mgr Mohsin Woh Aesa Hai K Phr Bhi Yaad Aata Hy....
meri awargi mein kuch dakhal hay tumhara bhi mohsin,

tumhari yaad aati hay to acha nahin lagta.
In palko ko tere didar ki pyaas hai,

Tu dur nhi paas hai.

Ruke ruke ye pal najane kyo udas hai,

Tujpe toh bahut per khudpe nhi vishwas hai.

Kaisa ye ehsas hai.
Chup rehne se baat nahi banti,
Dil ki baat dil main dabane se baat nahi banti,
Maana ke pyar ka Izhar karna Mushkil hai….
Magar dil ke armaan chupane se baat nahi banti.