Darr-e-qafas sy paray

Darr-e-qafas sy paray
Darr-e-qafas sy paray jab saba guzarti hy

Kisay khabar k aseeron py kya guzarti hy

Taeluqaat kbhi es qadar na tootay thay

K teri yad b dil se ghafa guzarti hy

Wo ab milay b to milta hy es tarah jaisy

Bujhay charaghon ko chhoo kar hawa guzarti hy

Ye ehl-e hijr ki basti hy ehtiyaat se chal

Musebaton ki yahan inteha guzarti hy

Na poochh apni anaa ki baghawtain MOHSIN

Darr-e qubool se bach kr dua guzarti hy...\
  

May, 29 2010     437 chars (3 sms)     3104 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tu Nafrat Ki Aag Pe Aik Aanso Baha K Dekh
Mohabbat Kitna Wazan Rekhti Hai Usko Azma K Dekh
Wo Roth Jaye Tujhse Bari Baat Nhi Hai
Tu Hans K AIk Baar Usey mana k Tou Dekh
Kabhi Rukey Howay Kisi Lamhey Main
Kabhi Dukhey Howay Kisi Chehrey Main
Wohi Chehra Bolta Rehta Hoon
Wohi Aankhain Soochta Rehta Hoon
Wohi ZulfaiN Dekhta Rehta Hoon
Zabt-e-gham is qadar aasaan nahi hay Faraz ...

Aag hote hain wo Aansoo jo piye jate hain.!~
Ishq Aur Dsoti Meri Zindagi Ka Unwaan Hai
Ishq Meri Rooh Dosti Mera Emaan Hai
Ishq Pe Kerdon Main Saari Zindagi Fida
Magar Dosti pe Mera Ishq bhi qurbaan hai
Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain
Ehsas bhoat hoga jb hum chale jain gey
Jb rona chaho gey to anso nae aingey.
Jb sath na de koi to awaz hamey dena.
Asman per be hongey to laut aingey.
Har aah tabasum ban jaye
har ashq sitara ho jaye
duniya hi badal jaye apni
tera ek ishara ho jaye
Na dekho sapney kisi key
Is qadar key
Jab woh toot jayein
To phir is ka
Dukh bhi na hoo

Naa chahoo kisi ko
Is qadar key
Jab woh root jayein
To phir mananey wala
Koi bhi naa hoo

Naa mangoo kisi ko
Is qadar duaoon mein key
Jab woh na miley
To ruswayeee key siwa
kuch bhi na hoo

Naa dekho kisi ko
Aisi nazron sey key
Jab woh jayeey to
Dekhney wali
Koi nazar naa hoo

Naa basaoo kisi ko
Apney dil ki nagri mein key
Jab woh rukhsat ho to
Yeh dil ki duniya
Abad hi naa hoo
Taras jao ge tum mehfil-e- wafa k liye

Kisi se pyar na karna kabhi khuda k liye

Jab lage gi ishq ki adaalat ek din

Tum hi chunay jaoge saza k liye.
ro ro kar usne kaha mujhe tum se nafrat hai..

agar nafrat thi tu phir itna rona kauon?
Kuch kahain to tauheene hasti hai
Kaisi ajab yeh dunya ki basti hai
Maree ko tu dain kandha sabhi
Magar zindagi raham ko tarasti hai
bebassi se uski aankhon main bi aansoo aa gaye.

jab mujhe wo judai ka mashwara dainay laga.