ub k na kerna uska zikar

ub k na kerna uska zikar
ub k na kerna uska zikar meri wafa ki mahfil main.

agar wo aye tu use kahna meri mahfil se door ja k roye.
  

May, 28 2010     110 chars (1 sms)     2584 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mit''tay nahi hain mar k bhi rishtay khaloos k..

"yonhi diye lahad pay jalata nahi koi..
mohabbat aizaaz ki terha wasool ki jati hai.
khairaat ki terha jhuk kr uthai nahin jati...
lafz likhta hou to ehsas likha jata hai dard likhta hoon
to piyas likha jata hai mere zameera se wakif hai youn
kalam mera mohabbat likhta hou to tera naam likha jata hai
Janay konse nagar ki cheriaya

Shaam mundayer pay aa bhati hai

Choonch may aik nazuk si daali

Us per aik sunehra phool

Jasay Ishq safar ki dhool
Sara hi shehar us k janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
Tujhe Pyar Mera Satayega Aksar.

Yaado ke toofa uthayega aksar.

Zikar mera karne se pehle.

tu Kuch soch ke muskrayega aksar.

Mera Naam likh kar Kitabo main apni.

tu Logon ke dar se Mitayega Aksar.

Baatein Meri Yaad ayengi itni.

Jitna tu unhain Bhulayega Aksar.
Q raat ki rait py bikhray huye,
Taron k kankar chunti ho,
Q sannatay ki silwat main,
Lipti awazain sunti ho,
Q apni pyasi ankho ki,
jhalar main khab proti ho?
Q roti ho?
Ab kon tumari ankho main,
Sadyo ki need undailay ga,
Ab kon tumari chahat ki,
Haryali main ghul khailay ga,
Ab kon tumari tanhai ka,
An dekha dukh jhailay ga?
Ab aisa hy.....
Ye rat musallat hy jb tk,
Ye shammain jalti hain jb tk,
Ye zakhm jaha tk chubtay hain,
Ye sansain jb tk chalti hain,
Tum apni soch k jangal main, rah bhatko aur kho jao...
Ab so jao... O_o
Her sham teri yad ki dastak hoti hai mere darwaze par..

pher uski gonjh sahar hone tak jati nahi...
kitni saji hai be-wafai teray masoom chehray par...,

hum bhi pagal thay k es ada pay mar gaye.
YE MAusAm Bhi KitnA PyArA HAi,

KArti YE HAwAye KuCh IshArA HAi,

ZArA SAmJhO InkE jAZbAtOn KO,

YE KEh RAhi AapkO DiL SE HuMnE PukArA HAi..
Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi,
Gaye dinon main bohat ba kamal thay hum bhi,
Hamari khoj main rehti thein titlyan aksar,
K apnay shehr ka husn-o-jamal thay hum bhi,
Zameen ki goad main sir rekh k so gaey aakhir,
Tumharay hijr main kitnay nidhal thay hum bhi,
Zaroration ne hamara zamer chaat liya,
Wagarna qaa’el-e-rizq-a-halal thay hum bhi,
Hum ask ask bikhartay rahay isi dhun main,
K zindagi main kabhi laazwal thay hum bhi!
Hamein Pata Tha K Teri Muhabat K Jaam Mein Zehar hai Lekin.!

Tere Pilany Mein Khaloos itNa Tha k HuM Thukra Na Skay… !