pehlay se ab wo rang

pehlay se ab wo rang
pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye
hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye

aankhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray
hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye

haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay
haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye

ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum
ik lamhay main hi kitne zamaanay guzar gaye

koi na shab ki tergi main saath de saka
kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye

hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi
kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye
  

Jun, 04 2010     536 chars (4 sms)     3372 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Muje To Bachpan Sae Kanty Chun Ny Kii Adat Thii
Muje Maat Choorna Kabhi K Kanty Chun Ny Kii To Pehly Adat Thii
Maut Ki Aakhri Hichki Ko Zara Ghaur Se Sun
~ GHaLiB ~



Zindagi Bhar Ka "Khulasa" Issi Awaaz Mein Hai...
Unka Waada Hai Ki Vo Laut Aayenge ,
Esi Umeed Pe Hum Jiye Jayengey ,

Ye Intjaar Bhi Unhi Ki Tarah He ,
Kar Rahe They , Kar Rahe He Aur Kiye Jayenge
Kyun har baar hum unki baton mein aa jaate hain
Kyun baar baar unke kehne se maan jaate hain
Har dard ko sejhne ke baad bhi unke saamne muskurate hain
Aur aapne haaton se apne aasuon ko poochte jaate hain
kaha us ney,k aakhir tum,bhula do gey mujhey ek din...

kaha main ney,karoon main kia,k mar jana muqaddar hai....
Ik Yehi Pehchan Kafi Hai Meri Pahchan K Liya..
Jo Rasta Aam Hojay Us Se Bacch Kar Chala Kartay Haiiin.
Mohabbat Aazmani Ho Tou
Bas Ita Hi Kaafi Hy

Zara Sa Rooth Kr Dekho
Mananey Kon Aata Hy
Rasm-e-Ulfat hi ijazat nhi daiti warna

hum bhi aisa tumhain bhoolain k sada yaad karo.
Kaun rakhta hai yaad naamo ko,

Log chehere ko bhool jatey hain,

Tum samundr ki baat krtay ho,

Log AANKHON mein doob jatey hain.....
Main yeh kehta hon ke
phir se dil lagana chahiye


Neend ki aghosh main
sapna suhana chahiye


Dil ki lau ko sard kar
dena aqal mandi nahi

Dil lagane ko agar-chay
ek zamana chahiye

Koi taaza phool le kar
milne aa jaye to phir

Apne zakhmi jaan-o-dil
ko bhool jana chahiye.
Kisi K Hijar Ka Phir Imtihan Toot Para
Hamare Dil Mein koi Makaan toot para
Bas Ik Lamhe ko Kamzor Per Gaye thy ham
Uss Ik Lamhe Mein Sara jahan Toot Para
Na Chand Na Tare
Bas Dekhe To Aapki Aankhen
In Aankhon Mein Doob Jaana Hai
Aur Pyar Ki Lehron Ko Paar Kar Jaana Hai!