Ek Sin Mili Wo Mujh Sy

Ek Sin Mili Wo Mujh Sy
Ek Sin Mili Wo Mujh Sy
Bujhi Bujhi Si
Jhuki Jhuki Si
Udasio''n Main Rachi Basi Si

Jo Main Ny Poocha
Udaas Kyun Ho .. ?

Jhuka K Palkai''n
Chupa k Chehra
Lagi Wo Kehne !

Udaasio''n Ka Sabab Tum Hi Ho
Mere Naseebo''n Main
"Tum Nahi Ho"
  

Jun, 01 2010     249 chars (2 sms)     2751 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Is qadar shidaad se tumhe socha hai musalsal main ne
keh ajj meri zaat ka muj se ikhtalaff ho gaya......
Nahin Fursat YaQeen mano Hamain Kuch or Karney ki...
.
.
Teri Yadain,
Teri Batain,
Buhat Masroof Rakhti hain..!
Kehtey Hain
Toot-ta Taara Daikh Kar
Jo Dua Maango
Woh QabooL Hoti Hai
Suno!!
Mainey Bhi Tumhein Maang Liya Hai...!
*~" Jis k milney ki nahi hoti door talk Umeed koi....


*~" Un k kho janey ka khudsha bhi bohut hota hai...!!
Khuda Kare Ki Pyar Me Kisi Ka Dil Na Toote
Jaise Rutha Mera Sanam Kisi Aur Ka Na Ruthe
Rota Hai Dil Aur Toot Jate Hain Sapne
Ankhon Ke Aansoo Bhi Nahin Hote Hain Apne
Lafz na niklen phir b awaz hoti hai,

Kuch doston ki baat bohat khas hoti hai,

Apse chahe bat ho ya na ho,

Likin apki yaad hamesha dil k pas hoti hai,
Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe

Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Molaqat Hoe

Es Chand Ki Naram Nigahon Say
Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe

Es Chand Ki Ghani Zulfon Main
Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe

Bas Yeahe Ik Baat Hoe
Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe

Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe
Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte

Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte

Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai

Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte

Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko

Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte

Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin

Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte

Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo

Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte
“Fiza mein mehekthi shaam ho tum,
Pyar mein jhalaktha jaam ho tum,
Tumhe dil mein chupayee phirte hain
Aai dost meri zindagi ka dusra naam ho tum
nahin aata fizaon se pehle humen daman bacha lena...

tumhin par jan dy den ge kisi din azma lena..
Be-khuloos logo’n se
Ijtinab karna hay

Mujhy apne rishto’n ka
Ehtisab karna hay

Usay bhool jana hay ya
Usay yaad rakhna hay

Dukh tou ek jesa hay bs
Intikhab krna hay
mohsin us ki hansi main chupy dard ko mehsos tou kr
wo tou unhi hans hans k khud ko sza daita hai